Skip to content

Mere Rashke Qamar Tu Ne Pehli Nazar

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Mere rashk-e-qamar tu ne pehli nazar, jab nazar se milaaii maza aa gaya Barq si gir gaii kaam hi kar gaii, aag aisi lagaaii maza aa gaya Jaam mein ghol kar husn ki mastiyaan, chaandni muskuraaii maza aa gaya Mere rashk-e-qamar tu ne pehli nazar, jab nazar se milaaii maza aa gaya Behijaabana woh saamne aa gae, aur jawaani jawaani se takra gaii Aankh un ki lari yuun meri aankh se, dekh kar yeh laraaii maza aa gaya Mere rashk-e-qamar tu ne pehli nazar, jab nazar se milaaii maza aa gaya Aankh mein thi hayaa har mulaaqaat par, surkh aariz hue wasl ki baat par Us ne sharma ke mere sawaalaat pe, aise gardan jhukaaii maza aa gaya Mere rashk-e-qamar tu ne pehli nazar, jab nazar se milaaii maza aa gaya