Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Chandrama Shrap
Shailendra Bharti
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Namaskar
Main, Shailendra Bharti aapke saamne prastut hua hu
Shiv Puran se ek aur kahaani ko lekar
Jiska vishay hai 'Chandrama ko shraap'
Humare ved, upnishad aur puran
Sanaatan gyaan ki aisi anoothi viraasat hain
Jo vishva mein aur kahi bhi nahi
In sab mein aisi jaankari aur prerna hain
Jo aaj hazaaron varshon ke baad bhi
Humein jeewan jeene ko protsaahit karte hai
Puranon ki in kaahaniyon ko sunkar aaj ke samay mein bhi
Aapke scientific mind ke liye shaayad vishwaas kar paana kathin ho
Par, humein in sab mein kahi huyi baaton ko samjhna hain
In pauraanik kahaaniyon se seekhna hain
Iske liye aapko science ko jhuthlaane ki bhi aawashyakta nahi padegi
Aur jo humare rishi-muni is kahaani ke medium se humein sikhaana chaahte the
Vo baat bhi poori ho jaayegi
Doston, Chandrama ko to aapne dekha hi hoga, aur roz hi to dekhte hain
Uske roop ko, uspar pade kaale dhabbe hum sabko maalum hain
Aur ye bhi jaante hi hain ke kaise yahi Chandrama
Shiv Ji ke mastak ya unki jataaon par viraajmaan hain
In sabke kaaranon ko jaante hain
Shiv Puran ki li gayi aaj ki is kahaani se
Jiska vishay hai 'Chandrama ko shraap'
Ye kahaani aapko poori jaankari degi
Skand, Matsya, Padm aur Agni puraanon mein bhi
Chandrama ke janm ka varnan hai
Lekin aaj ki humari kahaani mein vo aawashyak nahi
Aaj to hum ye jaanenge ke kaise bade se bada ghamand choor hota hai
Aur yadi aap apne ghamand ko chhodne ke liye taiyyar ho jaaye
To swayam Shiv aapko apne mastak par dhaaran kar sakte hain
Vaise Chandrama ko apne tej, apne prakaash, apne roop
Aur apni chamak par bada abhimaan tha
Is roop ke chalte Daksh Prajapati ne apni 27 kanyaaon ka vivaah
Chandrama se kiya tha
Baat sunke avishwasniya aur aaj ke jagat ke anuroop nahi lagti
Parantu zara dhyaan deke aage suniyega
In kanyaaon ke naam the Rohini, Revati, Kritika, Mrigshira, Aadra aur ityaadi
Ye kanyaien asal mein nakshatr hain
Nakshatr yaani ke taaron ka samooh, constellations
Aur, saadhaarantah yah Chandrama ke path se jude hote hain
To kya humare vaigyaanik, rishi aur muni humein astronomy sikha rahe the
Ye aapki apni samajh par nirbhar karta hai
Aaiye, hum waapas apni kahaani par aate hain
To, Daksh Prajapati ne apni 27 kanyaaon ka vivaah Chandrama se kar diya
Chandrama ko apne roop aur tej par to abhimaan tha hi
To Shiv Puran ki humari is katha ke anusaar
Chandrama apni 27 patniyon mein se ek ke prati jyada aakarshit the
Aur is patni ka naam tha Rohini
27 mein se yadi aap ek ke prati adhik aakarshan dikhaayenge
To but natural hai ke baakiyon se ye bardaasht nahi hoga
To baaki ki 26 patniyon, yaani ke 26 betiyon ne
Apne pita Daksh Prajapati se iski shikaayat kar di
Apni putriyon ki aisi haalat jab pita ne dekhi to vo kaise sahan karte
Daksh Prajapati is baat ko sahan nahi kar paaye, to krodh mein aa gaye
Chandrama apne abhimaan mein mast tha
Use is baat se shaayad koi antar nahi pad raha tha
Par, aap koi bhi ho, kitne hi bade ya shaktishaali ho
Abhimaan to har kisi ka choor hota hain
Ye prakriti ka niyam hai
Aap ise samjhne ke liye ek prakaar se Cause and Effects bhi keh sakte hai
Yadi abhimaan kisi baat ka cause hai
To uska effect bhayankar aur khatarnaak hoga
Daksh ne Chandrama ke abhimaan ko khatm karne ke liye
Use kshayrog ka shraap de diya
Kshayrog yaani ke tuberculosis, yaani chhoti bimaari nahi hai
Jise ye ho jaata hai uski saari pratibha, chamak aur roop sab ka ant ho jaata hai
Chandrama ke saath bhi yahi hua
Bheeshan shraap se uski shakti ksheen, civil hone lagi
Chaand ki chamak ghat gayi, ghamand toot gaya
Itna hi nahi tha
Dharti ki saari vanaspatiyaan bhi Chaand par nirbhar karti thi
Yadi Chaand par itna bura asar tha
To us bure prabhaav se vo vanaspatiyaan yaani ke vegetation kaise bach paati
Sab or traahimaam mach gaya
Poora system gadbada gaya
Tab Chaand ko apni bhool ka anubhav hua
Aur fir kisi ko to is beech mein aakar ke sab kuchh thik to karna hi tha
Tab baat aayi, humare jagat ke sustainer, Shri Vishnu Ji ke paas
Vishnu Ji ne hastakshep karne ka nirnay liya
Unhone krodhit Daksh ko samjhaane aur bujhaane ka jimma uthaaya
Daksh ko bhi baat samajh mein aayi ki yadi is jagat ko suchaaru chalaana hai
To waapas se system ko patri par laana hoga
Aur, Chaand ko shraap-mukt karna hi hoga
Ye sab soch ke Daksh ka gussa kam hua
Vo apna shraap waapas lene ke liye taiyyar ho gaye
Parantu unhone shart rakhi
Ke Chandrama fir se chamakne ka vardaan paa to sakta hai
Parantu uske kuchh niyam honge
Jaise ki Chaand ka prakaash Krishn-paksh mein ksheen hota jaayega
Krishn-paksh, yaani ke fortnight between Full Moon and New Moon
Uske baad amaavasya par Chaand ka prakaash puri tarah gaayab ho jaayega
Lekin next fortnight, yaani ke Shukl-paksh mein Chandrama ka uddhaar hoga
Aur vo fir se badhna shuru hoga
Aur purnmaasi ko Chandrama ka tej purn roop mein dikhega
Doston, isi katha ka ek aur roop milta hai
Ke sab kuchh fir se thik karne ke liye
Naarad Ji ne Chandrama ko Shiv Ji ki araadhna karne ki salaah di
Mahadev hi Chandrama ko uske shraap se mukt kar sakte hai
Chandrama ko ye baat samajh mein aa gayi thi
Vo apna saara abhimaan aur dukh chhodkar
Shiv Ji ki araadhna mein lag gaya
Uski araadhna sachchi thi
Ghor tapasya se Bhagwaan Shiv khush huye aur prakat ho gaye
Unhone Chandrama ke shraap ko samaapt kar diya
Aur itna hi nahi, tapasya ke phal ke roop mein
Unhone Chaand ko apne mastak par bhi dhaaran kar liya
Doston, astronomy humein bataati hai
Ki Chandrama jab 27 nakshatron ka chakkar laga leta hai
Tab ek maas pura hota hai
Aur jyotishaacharyon ke anusaar Chandrama ki utarti aur chadhti kalaaon se hi
Tithiyon va maah ke Krishn va Shukl pakshon ka nirdhaaran hota hai
Dekha jaaye, to aaj ke vigyaan aur hazaaron saal puraani baaton mein
Koi bahut adhik antar nahi hai
Aaj hum Chandrayaan se Chaand par pahunch gaye hai
Par Chandrama ke movement ki jaankari humein hazaaron saalon se thi
Is kahaani ki har ek jaankari, yaani ke tathya
Aapko vigyaan ki kasauti par khare hi dikhenge
Haan, ismein jo ghatnaayein ghat rahi hai
Unse aap jeewan ki seekh aur motivation praapt kar sakte hain
Chandrama, jo ekdum shwet aur chamakdaar tha
Jisse poori dharti ki vegetation phalti-phoolti thi
Uska bhi ghamand ek pal mein khatm ho gaya
Uske shwet roop mein dhabbe pad gaye
Uski chamak 14 din badhti aur 14 din ghat'ti hai
Ek din vo poori tarah se gaayab hota hai
To ek din apne poore tej ke saath dharti ko jagmaga deta hai
Aise hi apne roop, apne hunar ya apni kushalta par
Itna bhi ghamand mat kijiye, doston
Ke jisdin use kho de, to aapka astitva hi khatm ho jaaye
Aur seekh itni hi nahi hai
Motivation is baat se bhi aap le sakte hain
Ke yadi aapke kabhi koi bhool ho gayi hai, to us bhool ko samjhkar
Use jaankar, waapas se use sudhaarne mein lag jaaiye
Ishwar ya apne kaam mein apna poora astitva jhonk de
Bhagwaan waapas se aapko vo denge jo aapke paas tha
Isi baat ke saath, main, Shailendra Bharti aapse aagya leta hu
Aur fir se haazir hounga Shiv Puran ki dusri katha ke saath
Dhanyawaad