Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Chouke Se Mara
Sarika Kapoor
,
Amit Kumar
Popularity · Low
+
Soninke · Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Maara!
Chauke se maara, haan, belan se maara
Chauke se maara, haan, belan se maara
Chimte se maara, haan, bartan se maara
Mujhe gharwaali ne maara, haan, maara
Mujhe gharwaali ne maara
Mujhe gharwaali ne maara, haan, maara
Mujhe gharwaali ne maara
Soorat se lagti hai bholi-bhaali
Haath lagaao to deti hai gaali
O gaali, o gaali, o gaali, gaali, gaali
Pyaar se maanga maine Shrimati se chumma
Gusse mein laal huyi mere munne ki amma
Gusse mein usne tawa uchhala
Tawe se hogya munh mera kaala
Main gusse wali ke gusse se haara
Mujhe gharwaali ne maara, haan, maara
Mujhe gharwaali ne maara
Ae, mujhe gharwaali ne maara, haan, maara
Mujhe gharwaali ne maara
Main sabki aankhon ka taara tha, yaaro
Achchha bhala main kanwaara tha, yaaro
O yaaro, o yaaro, o yaaro, yaaro, yaaro
Kehna maano mera, kabhi na shaadi karo
Chain se jeeyo, pyaare, yu na be-maut maro
Main jo kahu, "Aa, sej sajaade"
Vo aake mera band bajaade
Mujhko dikhaaye vo din mein sitaara
Mujhe gharwaali ne maara, haan, maara
Mujhe gharwaali ne maara
Ho, mujhe gharwaali ne maara, maara
Mujhe gharwaali ne maara (Chup!)
Kaise bataaun main, gaanv waalo
Mujhko bataane mein aaye sharam
Kaise bataaun main, gaanv waalo
Mujhko bataane mein aaye sharam
Aise mein aake mujhko sataaye
Samjhe na majboori, besharam
Mere anaadi saiyyan ke jaise
Hote hain kya sabke mard aise?
Hote hain kya sabke mard aise?
Ho, chhodo, chalo, Rani, maafi bhi de do
Ab na karenge jhagda kabhi hum
Meri qasam? (Teri qasam)
Meri qasam? (Haan, teri qasam)
Meri qasam? (Haan, teri qasam)
Meri qasam? (Teri qasam)