Manzil
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Main dhundhne laga ret mein paani ki boondein,
Suraj ko main yun dekhta tha jalti aankhon se.
Phir udd chala tha main door jaise koi shwet hawayein.
Banjar Zameen pe gir ke khada hoon pairon pe apne.
...
Lagne laga tha darr mujhe usko khone ka,
Par khoya tha khud ko maine, uski aankhon mein.
Dooboon kaise jo zindagi ne behana sikhaya,
Behta chala gaya tha main zindagi ke safar pe.
Lagne laga hai ab khushiyon ka jahan yeh
Isme hum kho jaayen...
Khaamoshi meri jo bezubaan si thi
Inn khamoshiyon ko bhi saath hum leke chalein.
...
Kar panah sheeshon ke sapno ko tu duniya se
Kalpana sa hai tera yeh jahan.
Tu bata khaamoshi teri shor kare kyun
Kyun saza kaatun yun kat ti kahan
Mehsoos karun main,
Bichhdi yaadein Jo kahin
Peecha kare kyun
Koi toh bata de zara...
Seene se laga ke
Karun alvida main.
Inn goonjti yaadon se,
Main hoon rihaa.
Main dhundhne laga ret mein paani ki boondein,
Suraj ko main yun dekhta tha jalti aankhon se.
Phir udd chala tha main door jaise koi shwet hawayein.
Banjar zameen pe gir ke khada hoon pairon pe apne.
Lagne laga tha darr mujhe usko khone ka,
Par khoya tha khud Ko maine, uski aankhon mein.
Dooboon kaise Jo zindagi ne behana sikhaya,
Behta chala Gaya tha main zindagi ke safar pe.
Lagne laga hai ab khushiyon ka Jahan yeh
Isme hum kho jaayen...
Khaamoshi meri jo bezubaan si thi
Inn khamoshiyon ko bhi saath hum leke chalein.
...