Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Shri Ram Janki Baithe Hai Mere Seene Mein
Shakti Singh
,
Manoj Mishra
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Boliye, Bajrang Bali maharaj ki: (jay!)
Bhakton, bhakt-shiromani Hanuman ji maharaj ki to baat hi kya hai
Ek baar Vibhishan ne unki bhakti per prashn uthaaya
Unhein kataaksha kiya ki "Kya tumhaare seene mein bhi Prabhu Shri Ram baste hain?"
Usi waqt Hanuman ji maharaj ne apne seene ko cheer kar Prabhu Shri Ram ke darshan kara diye
Boliye, Bajrang Bali maharaj ki: (jay!)
To aaiye, prem se iss bhajan ko sunte hain
Na chalaao baan vyangya ke, aye Vibhishan, taana na seh paaun
Kyun todi hai ye maala, tujhe, Lanka pati, batlaaun
Mujhme bhi hai tujhme bhi hai, sab mein hai samjhaaun
Aye, Lanka pati Vibhishan, le dekh, main tujhko aaj dikhaaun
Aur kya kehte hain
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Dekh lo mere dil ke nageene mein
Dekh lo mere dil ke nageene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Aur kya kehte hain
Mujhko kirti, na vaibhav, na yash chahiye
(Mujhko kirti, na vaibhav, na yash chahiye)
Ram ke naam ka mujhko ras chahiye
(Ram ke naam ka mujhko ras chahiye)
Mujhko kirti, na vaibhav, na yash chahiye
Ram ke naam ka mujhko ras chahiye
Sukh mile aise...
Sukh mile...
Sukh mile aise amrit ko peene mein
Sukh mile aise amrit ko peene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Anmol koi bhi cheez mere kaam ki nahi
Dikhti agar usme chhavi Siya ki Ram nahi
Hanuman ji maharaj kehte hain
Ki "Wo koi bhi vastu hamaare liye mol nahi rakhta
Jisme Prabhu Shri Ram aur maat Siya ki chhavi nahi"
Ram-rasiya hoon main, Ram sumiran karoon
(Ram-rasiya hoon main, Ram sumiran karoon)
Siya-Ram ka sada hi main chintan karoon
(Siya-Ram ka sada hi main chintan karoon)
O, Ram-rasiya hoon main, Ram sumiran karoon
Siya-Ram ka sada hi main chintan karoon
Saccha anand hai...
Saccha anand hai aise jeene mein
(Saccha anand hai aise jeene mein)
Aur ek baar sab mil ke kahenge, kya
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Faad seena hai sab ko ye dikhla diya
(Faad seena hai sab ko ye dikhla diya)
Bhakti mein masti hai, sab ko batla diya
(Bhakti mein masti hai, sab ko batla diya)
O, faad seena hai sab ko ye dikhla diya
Bhakti mein masti hai, sab ko batla diya
Koi masti na...
Bol, Bajrang Bali maharaj ki: (jay!)
Koi masti na saagar ko peene mein
Koi masti na saagar ko peene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
Dekh lo mere dil ke nageene mein
(Dekh lo mere dil ke nageene mein)
Dekh lo mere dil ke nageene mein
Shri Ram-Janki baithe hain mere seene mein
(Baithe hain mere seene mein)
(Baithe hain mere seene mein)
Baithe hain mere seene mein
Boliye, Bajrang Bali maharaj ki: (jay!)