Meherban
JANI, Jokhay
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Safar suhane hain iss zindagi ki gadi mein
Jo na guzari gayi woh zindagi guzari hai
Jo main keh bhi na saka hoon woh tumne sun liya hai
Kya majra bata do jaaneman
Sheher se jaane ki taiyari ho rahi hai
Zindagi tamasha adakari ho rahi hai
Dil ke sauday mein gaddari ho rahi hai
Tujhko sochne ki adat ab bimari ho gayi hai
Woh kehte sab ko sab milay
Main kehta lazmi nahi
Ke thodi hasratein hain baki kafi mar di gayin
Bata do fitraton ka in mein kya hi mol hai
Ke tu na aya tab bhi ankhein jagti rahi
Meherban
Main yaad aun jo tumhein
De dena koi dua
Hoon zara sa gumshuda
Meherban
Na raat aaye na subah
Khatam kab hogi dastan
Udas hoon mein iss dafa
Khauf-e-khuda dil mein bhi hai
Kya tere bata zara?
Kala se barh kar kuch nahi
Jo keh na paya ga diya
Toh qismat ki lakeeron mein
Zehen aur dil ke paas tak
Tu sardiyon ki dhoop mein
Khamoshiyon ka saaz tak
Main sochta tha bin kahay mein bhool jaunga tumhe
Ab muskurake dekhna phir rehmaton mein hi ginay
Qayamat khez thay woh sab nazary jeete ji
Ke kuch nahi bacha toh qismaton se larh parhe
Tum poochti ho sab par
Kuch bata nahi rahi ho
Sikha rahi mohabbat
Khud nibha nahi rahi ho
Kya tum ko yaad hai
Woh daur bhi haseen tha
Tum khirkiyon se jhankti
Main barishon mein bheegta
Hazaron meelon door paharon ke talay
Abshaar ke uss shor mein kinaron par khade
Hum tujhko chu nahi rahe
Tu khud se mil galay
Aaj mann udas tha
Toh ab mehekta hi phire
Kya kuch gawaya hai
Kya kuch kamaya hai
Woh ab tak paison se khushi khareed na paya hai
Tajurbe reh gaye hain
Bas zindagi toh zaya hai
Kaha hai phir kisi ne mujhse yoon
Main in unchi si imaraton mein
Dhoondunga kahan kahan tujhe
Bata mujhe?
Hum ek chhatt ke neeche reh ke bhi
Ek dil mein na rahe toh kya rahe
Meherban
Main yaad aun jo tumhein
De dena koi dua
Hoon zara sa gumshuda
Meherban
Na raat aaye na subah
Khatam kab hogi dastan
Udas hoon mein iss dafa