Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Dard Diye Tumne Yaraa
Salman Ali
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Andaaz yeh teri mohabbat ka
Yeh wafa ka kaisa saliqa hai?
Mausam ki tarah yoon badal jaana
Yeh fareb kahaan se seekha hai?
Dard diye tumne, yaara
Sar-e-raah haath hai chhoda
Jud na sakega dobara
Yoon kishton mein dil toda
Dard diye tumne, yaara
Sar-e-raah haath hai chhoda
Jud na sakega dobara
Yoon kishton mein dil toda
De jaaye sukoon tumko shayad, haaye
De jaaye sukoon tumko shayad
Mera tadap-tadap ke marna
Thehre tum toh bewafa
Wafa ki baat na karna
Thehre tum toh bewafa
Wafa ki baat na karna
Beparwaiyan, teri bewafaiyan
De gayi mujhe tanhaiyan
Kitni mushkil ishq ki raahein
De raha dil yeh duhaaiyan
Yoon hi jiye jaana padta hai
Hain door zindagi ke saaye
Yoon hi jiye jaana padta hai, haaye
Hain door zindagi ke saaye
Dil ko samjhaana padta hai
Dil ko samjhaana padta hai
Jab-jab yaad mujhe teri aaye
Jab-jab yaad mujhe teri aaye
Tere haq mein hai har pal khushi, haaye
Tere haq mein hai har pal khushi
Mere hisse hai aahein bharna
Thehre tum toh bewafa
Thehre tum toh bewafa
Wafa ki baat na karna
Kuchh khwaab adhure hain apne
Jo tarse poore hone ko
Kuchh khwaab adhure hain apne, haaye
Jo tarse poore hone ko
O, heer, meri jaageer tu hi
O, heer, meri jaageer tu hi
Kuchh aur nahin ab khone ko
Kuchh aur nahin ab khone ko
Hoon be-dakhal tere dil se, haaye
Hoon be-dakhal tere dil se
Kabhi mujhko yaad na tu karna
Thehre tum toh bewafa, haaye
Thehre tum toh bewafa
Wafa ki baat na karna
Beparwaiyan, teri bewafaiyan
De gayi mujhe tanhaiyan
Kitni mushkil ishq ki raahein
De raha dil yeh duhaaiyan
Beparwaiyan, teri bewafaiyan
De gayi mujhe tanhaiyan
Kitni mushkil ishq ki raahein
De raha dil yeh duhaaiyan