Skip to content

Kehte Ho Ishq Ka Afsana Chahiyie

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

raazdaaroN se bach ke chaltaa huuN Gham-gusaaroN se bach ke chaltaa huuN mujhko dhokaa diyaa sahaaroN ne ab sahaaroN se bach ke chaltaa huuN shiiraaza-e-hayaat pariishaan ho gayaa ye marhalaa bhii Khair se aasaan ho gayaa mere sukuun-e-dil ko to hona hii tha tabaah unkii bhi ek nigaah kaa nuqsaan ho gayaa muhabbat kii ko'ii manzil nahiiN hai muhabbat mauj hai saahil nahiiN hai meri afsurdagii pe haNsne vaale tere pahluu mein shaayad dil nahiiN hai kahte ho mujh se ishq kaa afsaana chaahiye rusva'ii ho ga'ii, tumheN sharmaana chahiye Khuddar itnii fitrat-e-rindaana chaahiye saaqii ye Khud kahe koi paimaana chaahiye mattii Kharaab karte ho kyuuN biimaar-e-hijr kii jo tum pe mar gayaa use dafnaanaa chaahiye aankhoN mein dam ruka hai kisi ke liye zaruur go haath ko jumbish nahiiN aankhoN meN to dam hai rahne do abhii saaGhar-o-miinaa mere aage kyuuNkii merii... aankhoN meN dam rukaa hai, aankhoN mein kahnaa sitam ko chhoRo lillah na ab sataao aankheN taras gayii haiN aa jaao aa bhii jaao Khudaa ke liye ab to aa jaao varnaa. aankhoN meN dam rukaa hai, aankhoN mein apne mariiz-e-hijr se ab to na be-niyaaz ho qaasid payaam-e-Khat ko denaa bahut na tuul bas muKhtasar ye kahnaa ke aa jaao kab aaoge? maah basant meN panchamii aayii sakhiaN karat sab haar singaaro kiskaa maiN joRaa basantii rang pahnuuN jab naahiiN mere Shaam pyaaro diyaa sao deevari, nagar sab jag mag maine madar meN diyaa hii na baaro mein kehti phiruuN ke aate aate lab pe aaheN thak gayiiN aa bhii jaao ab nigaaheN thak gayiiN kyaa ban ke qayaamat kaa sabab aaoge? chhaayii hai ghaTaa aur barastii hai sharaab tum ab bhii na aaye to kab aaoge aankhoN meN dam rukaa hai kisii ke liye zaruur varnaa mareez-e-hijr ko mar jaana chahiye vaadaa andherii raat meN aane kaa thaa "Qamar" ab chaaNd chhup gayaa unheN aa jaana chaahiye