Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Dhruv Taara
Shailendra Bharti
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Dosto, aaj ki humari katha
Ek baalak ke saade mann aur uske mann ki sachai ke baare mein batayegi
Kehte hain ke "Bachon mein bhagwan baste hain"
Par jaante hain kyon?
Ji haan, main Shailendra Bharti
Aapko Vishnu Puran ki iss katha ke dwara yahi baat batane ja raha hu
Itna hi nahi, ye katha aapko ek aise khagoliye tathye
Yaani ke astronomical fact ke baare mein bhi batayegi
Jisko sun karke aap samajh jaayege ke humare rishi-muni kitne advanced thhe
Aaj ki katha hai baalak Dhruv ke baare main
Humari sanskriti mein yadi bhagwano ki kami nahi
Toh unke bhakto ki bhi kami nahi
Paanch varsh ki aayu mein kya bhakti sambhav hai?
Zara iss kartha ko dhyaan se suniyega, dosto
Ek baar ki baat hai
Ek raja thhe Uttaanpaad, jinki do raniyan thi
Badi rani ka naam tha Suniti aur chhoti rani thi suruchi
Badi rani Suruchi ne Uttam naam ke putra ko janam diya tha
Aur chhoti rani Suniti ke putra ka naam tha baalak Drhuv
Vaise toh Uttaanpaad ki pehli patni rani Suniti hi thi
Lekin raja jo Suruchi aur uska putra Utaam adhik priye thhe
Ek baar ki baat hai
Raja Uttaanpaad ne Dhruv ko apni gaud mein baitha rakha tha
Aur uske saath khel rahe thhe
Raniyon mein ek-dusre ke prati kitna dwesh hota hai ye toh aap jaante hi hai
Aur aisa dwesh chhote bachon ko bhi nahi dikhta
Jab rani Suruchi ne Dhruv ko raja ki gaud main baitha dekha
Toh usse gussa aa gaya
Usne ussi samay Dhruv ko raja ki gaud se utaar diya
Aur apne bete Uttam ko baitha diya
Suruchi itne par bhi nahi ruki
Wo baalak Dhruv se boli ki, "Mera beta hi raaj sinhaasan par baithega"
Yadi Dhruv ko raaj gaddi chaiye
Toh usse bhagwan Vishnu ki bhakti karni hogi
Paanch saal ke bache ko raaj gaddi nahi bas pita ka pyaar chaiye hota hai
Wo ye sab baate kahaan samajhta hai
Dhruv rota hua apni maa Suniti ke paas aaya aur usse sab keh batlaya
Suniti toh sabh kuch jaanti hi thi
Usne Dhruv ko sach-sach bataya tha
Ke raja Uttaanpaad ko Suruchi aur uska beta Uttam unse adhik pasand hai
Toh ab uska sahara bas baghwan Vishu hi hai
Ye baat baalak Dhruv ke dukhi maan ko chubh gayi
Usse samajh nahi aaya ki dono maayein bhagwan Vishnu ki hi baat kar rahi hain
Aur jab kar rahi hain toh theek hai
Toh phir aisa karta hu ke main bhagwan Vishnu se hi pararthana karta hu
Chhota sa paanch saal ka bacha Dhruv
Ghar chhod kar bhagwan Vishnu ki tapasya karne ke liye nikal pada
Kya usse pata bhi tha ki tapasya kya hoti hai?
Aise mein raaste mein Dhruv ko Narad Muni milte hain
Aur usse "Om namo bhagwate vaasudevaaye"
Iss manta ke baare mein batate hain
Dhruv tapasya ke baare mein kitna jaanta tha ya nahi jaanta tha
Par wo sache mann se Yamuna nadi ke tatt par pahaunch gaya
Aur wahaan par baithkar usne is mantra ka jaap aarambh kar diya
"Om namo bhagwate vaasudevaaye"
Baalak chhota tha par uska mann sacha, uski tapasya aur bhi kathor
Chhe mahine tak uski tapasya bine ruke chalti rahi
"Om namo bhagwate vaasudevaaye, om namo bhagwate vaasudevaaye"
"Om namo bhagwate vaasudevaaye," ka jaap nirantar chalta raha
Bhagwan bhi ek baalak ki kab tak pariksha lete
Antt mein Vishni ji swyam prakat ho gaye, aur bole, "Batao, kya chaiye, beta"
Ek baalak aakhir bhagwan se kya maang sakta hai
Khaskar ke wo baalak jiski bas itni si abhilasha thi
Ke wo apne pita ki gaud mein bethkar khel sake
Usne Vishnu ji se vahi maang liya
Dhruv bola ke usse toh bas apne pita ki gaud chaiye
"Mujhe apne pita ki gaud mein bethna hai"
Vishni ji ne baalak Dhruv ko apni gaud mein baithaya aur bole
"Tumhari saari manokamnayein puran hongi"
Itn hi nahi, Vishnu ji bole ki wo Dhruv ki bhakti se atti prasan hain
Isliye wo usse aisa lok pradaan kar rahe hain
JIske chaaro aur jyotish chakra ghumta hai
Au jiske aadhar par sab greh nakshatra ghumte hain
Iss vardaan ko paane ke baad hi baalak Dhruv, Dhruv taara ban gaya
Wo taara, ji haan, dosto
Wo taara jo aakash mein apne sthaan par adig rehta hai
Sab kuch badalta hai par Dhruv taara jahaan hai wahi rehta hai
Toh ab aate hain, dosto
Hum apni katha ke astronomical aspect par
Kya iss katha se humare rishi bhakti ke alawa
Humein ghagol shastra bhi sikha rahe the?
Dhruv taare ko polaris ya pole star bhi kehte hain
Ye wahi taara hai jo Pauranik kaal ke yaatrion
Aur naaviko ka maargdarsha karta tha
Issi Dhruv taare ki positioning ko dekhkar
Yaatra karne waale apni aage ki raah ko chunte thhe
Kyonki prithvi apni dhoori aur apnki kaksha mein ghoomti rehti hai
Toh saare taare aur nakshstra apni-apni position ko samay ke anusaar badalte rehte hain
Yadi kuch nahi badalta hai toh sirf northern hemisphere ka Dhruv tara
Dosto, iss katha ke aadhar par
Dhruv, bhagwan Vishu ke priye bhakto mein se ek hue
Aur saptrishi mandal mein Dhruv taare ke naam se jaane gaye
Kabhi raat mein khule maidan mein aakar ke upar akash ki aur dekhiyega, dosto
Aapko saath taaro ka ek samuh milega, jise Saptrishi bhi kehte hai
English bhashiye isse Ursa Major ya Great Bear bhi kehte hain
Iss Saptrishi mandal ke antim do taaro ki sidhayi mein ek rekha kheench dijiyega
Tab aapko ek aur chamakta hua taara dikhega
Yahi aapka bhakt Dhruv hai, yahi Dhruv taara hai
Aapki apni chha par hai
Ke aap Dhruv ki bhakti se impress hote hain
Ya humare Purano aur rishi-muniyon ke scientific aspect par
Everthing depends on your own wish
Aasha karta hu ki ye kahaniyan aapko bohot pasand aayi hogi
Aisi hi kahani ke saath phir se hazir hounga
Tab tak ke liye apne dost, Shailendra Bharti ko aagya dijiye
Namashkar