Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Main Jahaan Rahoon (Mehfil remix)
Rahat Fateh Ali Khan; Krishna Beura
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Main jahaan rahoon, main kahin bhi hoon
Teri yaad saath hai
Jaane kiski talaash unki aankhon mein thi
Aarzoo ke musaafir bhatakte rahe
Jitne bhi woh chale, utne hi bichh gaye raah mein faansle
Khwaab manzil the aur manzilein khwaab thi
Raaston se nikalte rahe raaste
Jaane kis waaste aarzoo ke musaafir bhatakte rahe
Main jahaan rahoon, main kahin bhi hoon
Teri yaad saath hai
Kisi se kahoon ki nahin kahoon
Ye jo dil ki baat hai?
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chhup ke is dil mein tanhaayi palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Main jahaan rahoon, main kahin bhi hoon
Teri yaad saath hai
Koi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
"Itni jalti dhoop mein yun kab tak ghumoge?
Aao, chalke beete dino ki chhaanv mein baithein
Us lamhe ki baat karein ke jisme koi phool khila tha
Us lamhe ki baat karein ke jisme kisi aawaaz ki chaandi khanak uthi thi
Us lamhe ki baat karein jisme kisi nazar ke moti barse the"
Koi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
"Itni jalti dhoop mein yun kab tak ghumoge?"
Kahin to dil mein yaadon ki ek sooli gad jaati hai
Kahin har ek tasveer bahut hi dhundhli pad jaati hai
Koi nayi duniya ke naye rangon mein khush rehta hai
Koi sab kuchh pa ke bhi ye man hi man kehta hai
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chhup ke is dil mein tanhaayi palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Sach toh ye hai, kasoor apna hai
Chaand ko chhoone ki tamanna ki
Aasmaan ko zameen par maanga
Phool chaaha ki pathharon pe khilein
Kaanton mein ki talaash khushboo ki
Aarazoo ki, ki aag thandak de
Barf mein dhoondhte rahe garmi
Khwaab jo dekha, chaaha sach ho jaaye
Iski humko saza toh milni hi thi
Sach toh ye hai, kasoor apna hai
Kahin to beete kal ki jadein dil mein hi utar jaati hain
Kahin jo dhaage toote to maalayein bikhar jaati hain
Koi dil mein jagah nayi baaton ke liye rakhta hai
Koi apni palkon par yaadon ke deeye rakhta hai
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chhup ke is dil mein tanhaayi palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai