Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Kya Miliye Aise Logon Se
Mohammed Rafi
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Kya miliye...
Kya miliye aise logon se jin kee fitarat chhupee rahe

Naqli cheharaa saamane aaye, asli soorat chhupee rahe

Khud se bhee jo khud ko chhupaae, kya un se pahchaan karen
Kya un ke daaman se lipten, kya un ka armaan karen

Jin kee aadhee niyat ubhare, aadhee niyat chhupee rahe
Naqli cheharaa saamane aaye, asli soorat chhupee rahe
Dildaari ka dhong rachaa kar jaal bichhaayen baathon ka
Jeete-jee ka rishta kah kar sukh dhoondhen kuch raaton ka

Rooh kee hasarat lab par aaye, jisam kee hasarat chhupee rahe
Naqli cheharaa saamane aaye, asli soorat chhupee rahe
Jin ke zulm se dukhi hai janata har basti, har gaanv mein
Dayaa-dharam kee baath karen vo baith ke saji sabhaaon mein

Daan ka charchaa ghar-ghar pahunche, lut kee daulat chhupee rahe
Naqli cheharaa saamane aaye, asli soorat chhupee rahe
Dekhen in naqli chehron kee kab tak jai-jayakaar chale
Ujle kapadon kee tah mein kab tak kaalaa sansaar chale

Kab tak logon kee nazaron se chhupee haqiqat chhupee rahe
Naqli cheharaa saamane aaye, asli soorat chhupee rahe
Kya miliye aise logon se jinaki fitarat chhupee rahe