Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Makka Yaad Aata Hai
Junaid Jamshed
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Mujhe furqat mein reh kar phir woh Makkah yaad aata hai
Woh Zamzam yaad aata hai
Woh Kaaba yaad aata hai
Mujhe furqat mein reh kar phir woh Makkah yaad aata hai
Woh Zamzam yaad aata hai
Woh Kaaba yaad aata hai
Pehen kar sirf do kapday
Mera woh cheekhtay phirna
Woh koshish yaad aati hai
Woh naara yaad aata hai
Jahan jaa kar main sar rakhta
Jahan main haath phailata
Woh chaukhat yaad aati hai
Woh parda yaad aata hai
Kabhi woh daud kar chalna
Kabhi ruk ruk ke reh jaana
Woh chalna yaad aata hai
Woh naqsha yaad aata hai
Kabhi wehshat mein aa kar phir
Safa par jaa ke chadh jaana
Woh Mas'a yaad aata hai
Woh Marwa yaad aata hai
Kabhi chakkar lagana
Hajiyon ki saf par lad bhid kar
Woh dhakkay yaad aate hain
Woh jhagra yaad aata hai
Kabhi phir un se hat kar
Dekhna Kaabay ko hasrat se
Woh hasrat yaad aati hai
Woh Kaaba yaad aata hai
Kabhi jaana Mina ko aur kabhi Maidan-e-Arafat ko
Woh majma yaad aata hai
Woh sehra yaad aata hai
Woh patthar maarna Shaitan ko
Takbeer padh padh kar
Woh ghogha yaad aata hai
Woh sauda yaad aata hai
Mina mein laut kar
Qurbani karna mera dumbay ko
Woh Sunnat yaad aati hai
Woh fidya yaad aata hai
Mina se sar mundwa kar daud jaana mera Kaabay ko
Woh Ziyarat yaad aati hai
Woh jaana yaad aata hai
Mina mein reh ke raaton mein
Duaein maangna mera
Woh naalay yaad aate hain
Woh giriya yaad aata hai
Woh rukhsat ho ke mera
Dekhna Kaabay ko mud mud kar
Woh manzar yaad aata hai
Woh jalwa yaad aata hai
Mujhe furqat mein reh kar phir
Woh Makkah yaad aata hai
Woh Zamzam yaad aata hai
Woh Kaaba yaad aata hai