Skip to content

Apne Maa Baap Ka Dil Na Dukha (Islamic)

Anis Sabri
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Apni Jannat ko khuda ke liye dozakh na bana Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Mere Malik Mere Aqa Mere Maula ne kaha Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Baap ke pyar se achhi koi daulat kya hai Maa ka anchal jo salamat hai to jannat kya hai Ye hai razi to nabi razi hai razi hai khuda Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Jab bhi dekha to tuje pyar se dekha maa ne Khun e dil dudh ki surat me pilaya maa ne Tune is pyar ke badle me use kuchh na diya Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Unki mamta ne bahar haal sambhala tujko Is kadar pyar se maa baap ne paala tujko Rehmat e bala se kuchh kam nahi saya unka Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Tere maa baap ne kis pyar se paala tujko Khud rahe bhukhe diya muh ka nivala tujko Inki mutthi me hai nadan mukaddar tera Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Tere bete bhi Kama rotiya denge tujko Ye Bhi teri hi tarha galiya denge tujko Tu bhi hai sahib e aulad ye kyu bhul gaya Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Tunse achhi nahi dekhi koi surat keshar Hai sarapa ye mohabbat hi mihabbat keshar Kaam ati hai bhure vakt me unki hi dua Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Apni Jannat ko khuda ke liye dozakh na bana Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha Mere Malik Mere Aqa Mere Maula ne kaha Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha