Skip to content

Chupke Se Koi - Remix

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Chupke se koi aayega Phir meri neend churaayega Phir saari raat jagaayega Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho (O maine kyoon pyaar kiya Yeh dil beqaraar kiya) - 2 Mm, chupke se koi aayega Phir meri neend churaayega Phir saari raat jagaayega Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho (O maine kyoon pyaar kiya Yeh dil beqaraar kiya) - 2 Saanson mein ajab si pyaas jage Dil ko jo koi apna sa lage Dekhe yeh zamaana pyaar mera Sach hota koi sapna sa lage Na jaane kya chaahat hai Yeh dil ki jo haalat hai Guzarti hai mujhpe kya, kaise kahoon Ikraar bhi mushkil hone laga Inkaar bhi mushkil hone laga Ab chain bhi mera khone laga Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho (O maine kyoon pyaar kiya Yeh dil beqaraar kiya) - 2 Is dil mein chhupa toofaan koi Nikla na mera armaan koi Ek pal bhi mujhe aaraam nahin Yeh jaan ke hai anjaan koi Deewani main ho jaaoon Ke yaadon mein kho jaaoon Machalta hai dil mera, main kya karoon Betaab si lagti har dhadkan Kab suljhegi aakhir yeh uljhan Kahin jaan na le le paagalpan Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho (Ho maine kyoon pyaar kiya Yeh dil beqaraar kiya) - 2 Aa, chupke se koi aayega Phir meri neend churaayega Phir saari raat jagaayega Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho (O maine kyoon pyaar kiya Yeh dil beqaraar kiya) - 2