Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Jai Bolo Be-Imaan Ki -1
Mukesh & "Be-Imaan" Chorus
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Bolo, beimaan ki (jai)
Beimaan ki (jai)
Beimaan ki (jai)
Na izzat ki chinta, na fikar koi apmaan ki
Jai bolo beimaan ki, jai bolo
Jai bolo beimaan ki, jai bolo
(Na izzat ki chinta, na fikar koi apmaan ki)
(Jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Oh, bolo (jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Beimaan ke bina maatre hote akshar chaar
Ba, badkaari, Ee, eersha, Ma se bane makaar
Na se namak-haraami, samjho ho gaye poore chaar
Chaar gunaah mil jaayein, hota beimaan taiyaar
Arre, us'se aankh milaaye, kya himmat hai shaitaan ki
(Jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Oh, bolo (jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Bhola mukhda, ujle kapde, man hai kaala-kaala
Jiski daya se mandir chalte, hai aabaad shivaala
Nit mandir mein pooja karta deepak jala-jalaakar
Khush karta bhagwan ko dekho ghanta baja-bajaakar
Andar bhagwaan ki jai ho aur baahar beimaan ki
(Jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Oh, bolo (jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Beimaani se hi bante hain bangle, baag, bagiche
Sar ke upar pankhe chalte, paanv tale gaaliche
Reeti-rivaaj, dharam aur mazhab, dab jaate hain neeche
Beimaan sabse aage aur duniya peeche-peeche
Mehnat se bane na kutiya, arre, chhodo baat makaan ki
(Jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Oh, bolo (jai bolo beimaan ki, jai bolo)
(Na izzat ki chinta, na fikar koi apmaan ki)
(Jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Oh, bolo (jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Peth bhi asli, seth bhi asli, nakli maal banaaye
Upar asli, lekin andar nakli ghee aur chai
Poplin ka badal ke number tairilin banaaye
"Ya beimaani tera aasra," bol ke loot'ta jaaye
Arre, apne desh ka kapda aur lagi hai mohar Japan ki
(Jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Oh, bolo (jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Vindravan ke hum sanyaasi, kaam hai chalte rehna
Mauka hai, takdeer banaalo, haath na malte rehna
Haath ki choodi, paanv ki paayal, ya ho gale ka gehna
Maar ke mantar duguna kar de, maane agar tu kehna
Do din peechhe kholo, leela dekho bhagwan ki
Jai bolo bhagwaan ki, jai bolo
Jai bolo bei-
Jai bolo bhagwaan ki, jai bolo
Poori seat pe jatajoot sang hain maharaj padhaare
Chimta, charas, chilam, aur chele saath-saath hain saare
Ticketein lekar bhi gaadi mein khade shareef bechaare
Aur ye dekho bhagwan ke chamche pade hain paanv pasaare
Bin ticket yaatra karte dekho teerth asthaan ki
(Jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Oh, bolo (jai bolo beimaan ki, jai bolo)
(Na izzat ki chinta, na fikar koi apmaan ki)
(Jai bolo beimaan ki, jai bolo)
Oh, bolo (jai bolo beimaan ki, jai bolo)