Skip to content

Ae Jaan-e-Wafa Dil Mein

Popularity ยท Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Ae jaan e wafa dil mein teri yaad rahe gi Ae jaan e wafa dil mein teri yaad rahe gi Duniya e mahabat meri aabaad rahe gi Ae jaan e wafa. Har dam teri tasveerein nigaahon mein hai raushan Haathon se na choote ga tere pyaar ka daaman Aankhon mein tere hijr ki rudaad rahe gi Ae jaan e wafa. Tanha sahi veeraa'n sahi main sab ke nazar mein Aabaad hai tu ab bhi is ujray huve ghar mein Is ghar mein hamesha tu hi aabaad rahe gi Ae jaan e wafa. Har lamha mere dil mein dharakta hai tera dil Tu hi meri taqdeer hai tu hi mera haasil Tere liye duniya meri barbaad rahe gi Ae jaan e wafa dil mein teri yaad rahe gi Duniya e mahabat meri aabaad rahe gi Ae jaan e wafa.