Skip to content

Dekho Maine Dekha Hai Ek Sapna

Lata & Amit Kumar
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Dekho, maine dekha hai ye ek sapnaa Phulon ke shahar mein hai ghar apana Kya samaan hai, too kahaan hai? Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Kithna haseen hai ye ek sapnaa Phulon ke shahar mein hai ghar apana Kya samaan hai, too kahaan hai? Main aayaa, aayaa, aayaa, aayaa, aayaa Yahaan tera-mera naam likhaa hai Rastaa nahin ye aam likhaa hai Ho, ye hai daravaaza, jahaan too khadi hai Andar aa jaao, sardi badee hai Yahaan se nazaaraa dekho parbaton ka Jhaankun main kahaan se? kahaan hai jharokha? Ye yahaan hai, too kahaan hai? Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Kithna haseen hai ye ek sapnaa Phulon ke shahar mein hai ghar apana Kya samaan hai, too kahaan hai? Main aayaa, aayaa, aayaa, aayaa, aaja Achchha ye batao, kahaan pe hai paani? Baahar baha raha hai jharnaa, deewaanii Bijlee nahin hai, yahi ik gam hai Teri bindiya kya bijlee se kam hai? Chhodo, mat chhedo, bazaar jaao Jaataa hoon, jaaoongaa, pehle yahaan aao Shaam javaan hai, too kahaan hai? Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Dekho, maine dekha hai ye ek sapnaa Phulon ke shahar mein hai ghar apana Kya samaan hai, too kahaan hai? Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Kaisee pyaaree hai ye choti see rasoi? Ho, hum donon hain bas, dooja nahin koyi Is kamare mein hongee meethi baathen Us kamare mein guzarengi raatein Ye to bolo, hogee kahaan pe ladaai? Maine vo jagah hee nahin banaai Pyaar yahaan hai, too kahaan hai? Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Kithna haseen hai ye ek sapnaa Phulon ke shahar mein hai ghar apana Kya samaan hai, too kahaan hai? Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Dekho, maine dekha hai ye ek sapnaa Phulon ke shahar mein hai ghar apana Kya samaan hai, too kahaan hai? Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja Main aayi, aayi, aayi, aayi, aaja