Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Roshan Huyi Raat
Anuradha Sriram
,
A. R. Rahman
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Raushan huee raat, vo aasamaan se
Utar ke zameen pe aayaa
Raushan huee raat, mariyam ka beta
Mohabbat ke sandes laayaa
Duniyaa mein vo meherbaan
Saath laayaa sachchaee ke ujaale
Duniyaa mein banake maseehaa
Vo aayaa ki hamko dukhon se bacha le
Raushan huee raat, vo aasamaan se
Utar ke zameen pe aayaa
Raushan huee raat, mariyam ka beta
Mohabbat ke sandes laayaa
Vo aayaa seene se unako lagaane
Jo hain yahaan besahaare
Vo aayaa banhon mein unako chupaane
Jo hain yahaan gam ke maare
Raushan huee raat, jab jagamagaaya
Purab gagan ka sithaaraa
Raushan huee raat huqm-a/e-khuda se
Mariyam ne yesu pukaaraa
Raushan huee raat, vo aasamaan se
Utar ke zameen pe aayaa
Raushan huee raat, mariyam ka beta
Mohabbat ke sandes laayaa
Raushan huee raat, vo aasamaan se
Utar ke zameen pe aayaa
Raushan huee raat, mariyam ka beta
Mohabbat ke sandes laayaa