Skip to content

Mohammad Ke Shaher Mein

Haji Aslam Sabri
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Ya nabi aapke jalwon mein wo ranaayi hai Dekhne par bhi meri aankh tamannayi hai Haq-taala bhi kareem, aur Mohammed bhi kareem Do kareemon mein gunahgaar ki bann aayi hai Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Dukh dard-o-alam gham katt-tay hain Hasnain ke sadqay batt-tay hain Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Khaday huwe hain sar-e-rehguzar madinay mein Hazaaron shamme hazaaron qamar madinay mein Sataale jitna sataaye mujhe gham-e-doori Nikaal dhoop mein saari kasar, Mohammed ke shaher mein Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Kuch aisi bheed lagjaati hai shah-e-deen ke rozay par Hawaa ko raasta mushkil se milta hai Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Hawaayen bhi adab ke saath chalti hain Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Ghamon se jab bhi tabiyet malool hoti hai Toh shaabgaam banaam-e-rasool hoti hai Khud is duwa mein Mohammed ka waasta shaamil Huzoor-e-haq mein yakeenan qubool hoti hai Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Haath mein tasbeeh baghal mein musalla Lab pe jaari Allah Allah Kehti hui pohunchi Baitullah Aur pukaari aye mere Allah Too gada ko jo nawaaze toh shahenshah banay Aur yateemon ko jo chahe toh payyambar karde Aye mere Allah (Toh sadaa parde se aayi) Mere parde mein wehdat ke siwa kya hai Jo toh tujhe lena hai lay Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein Kyun aa ke ro raha hai, Mohammed ke shaher mein Kyun aa ke ro raha hai, Mohammed ke shaher mein Har dard ki dawaa hai, Mohammed ke shaher mein Har dard ki dawaa hai, Mohammed ke shaher mein Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen Chalo sarr ke ball chalen Wo bargaah-e-naaz-e-rasool-e-arabi hain Palkon ka jhapakna bhi wahan pe adab hi hai Chalo sarr ke ball chalen Wahan sarr jhukaate hain Auliya Wahan paon rakhna rawaan nahi Nazaan hai jis pe husn wo husn-e-rasool hai Ye kehkashaan toh aapke kadmon ki dhool hai Taiba ke raaste ka toh kaanta bhi phool hai Aye rehrawaan-e-shaukh chalo sarr ke ball chalen Chalo sarr ke ball chalen Begaana-e-irfaan ko haqeeqat ki khabar kya Jo aapse waakif na ho, wo ahl-e-nazar kya Manzoor-e-nazar kaun hua iski khabar kya Wo fazl pe ajaye toh phir aib-o-hunar kya Taamil ko darr-e-yaar ke sajdon se na roko Qurbaan jahan dil ho, wahan keemat-e-sarr kya Chalo sarr ke ball chalen Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya Teri nigaah se jalwe bhi mehr-o-maah banay Jagaye besar-o-samaan jahan panaah banay Huzoor hi ki karam mein diye tasalli bhi Huzoor hi mere gham mein meri panaah bane Wohi maqaam mohabbat ke jalwa-gaah banay Jahaan jahaan se wo guzre jahan jahan pohunchay Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein Sadqa lutaa raha hai, Khuda unke naam ka Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein Sab toh jhuke hain khana-e-kaaba ke saamne Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein Hajiyon aao shahenshaah ka roza dekho Kaaba ko dekh chuke kaabe ka kaaba dekho Madina wo hai ke ye ja ja ke sajda karta hai Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein Phool gulaab ka aapke chehre jaisa lagta hai Aur chamakta chaand nabi ka talwa lagta hai Kaaba khud taiba ki jaanib jhukta lagta hai Kaabe ke kaaba sarkaar ka roza lagta hai Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka abidi Khicha kuch is milaal-i-shaan se naksha Mohammed ka Ke naqqash-e-azal bhi hogaya shaida Mohammed ka Koi kya dekhta aks-e-kadd-e-wala Mohammed ka Saraapa noor tha wo kaamat-e-sebaa Mohammed ka Kisi waaiz nazar aata na tha sayaa Mohammed ka Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka abidi Zinda y