Skip to content

Yeh Baatein Jhooti

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain tum Inshaji ka naam na lo, Kya Inshaji saudai hain Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain Ye baatein, ye baatein Hai lakhon rog zamane mein, kyon ishq hai ruswa bechara hain aur bhi wajhe wahshat ki, insaan ko rakhti dukhiyara haan bekal bekal rehta hai, wo preet mein jis ne dil hara par shaam se lekar subho talak, yoon kaun phire hai awaara Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain ye baatein, ye baatein Gar ishq kiya hai tab kya hai, kyon shaad nahin abaad nahin jo jaan liye bin chal na sake, ye aisi bhi uftad nahin ye baat to tum bhi maano ge, wo Qais nahin Farhaad nahin kya hijr ka daru mushkil hai, kya vasl ke nuskhe yaad nahin Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain ye baatein, ye baatein Jo hum se kaho hum karte hain, kya Insha ko samjhana hai Us ladki se bhi kehlenge, go ab kuchh aur zamana hai Ya chhodein ya takmeel karein, ye ishq hai ya afsana hai Ye kaisa gorakh dhanda hai, ye kaisa tana-bana hai Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain Tum Inshaji ka naam na lo, Kya Inshaji saudai hain Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain Ye baatein, ye baatein.