Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Kaafi Nahi
Aashran Mahajan
Popularity · Low
+
Soninke · Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Main aankhon se jharne bahaaun
Toh kaafi nahi
Main sapno ko apne jalaaun
Toh kaafi nahin
Jo tere liye muskura kar
Agar mar bhi jaaun
Woh hoga
Kaafi nahi
Na din ki khabar
Raat ka na pata hai mujhe
Tere bin jo beete
Woh har pal saza hai mujhe
Main har saans mein
Naam tera suna doon tujhe
Woh hoga
Kaafi nahi
Sunti kahaan hai
Jo kehti hain aankhein meri
Maine suna hai
Ke behri hai aankhein teri
Barsaat hoon main
Tujhe seenchta hi rahoon
Tu be-asar hai
Ke sookhi hain shaakhein teri
Main hum-tum se hum ko mitaaun
Toh kaafi nahi
Tujhe mil ke khud ko gawaaun
Toh kaafi nahi
Main taaron ko jugnu bana kar
Saja doon tujhe
Woh hoga
Kaafi nahi
Kaafi nahi
Hai kaafi nahi
Kaafi nahi
Hai kaafi nahi
Kaafi nahi
Kaafi nahi
Hai kaafi nahi