Skip to content

Kaisa Kutta Hai

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Ek kamra Bin khidkiyon, darwajon ke Usme Deewaron pe rang samajon ke Pankhe se Latke fande reewajon ke Usme mera dam ghoot ta hai Mai so lunga mandiron chaubaro par Reh lunga akela tyoharon par Bhokunga nahi gujarti caron par Aur log kehenge yeh kesa kutta hai Mai na kholunga pajama apna Khudka khud me thoons le jamana apna Itna sasta nahi hai khajana apna Mera toh koyi aur hi dhandha hai Apni sharton pe jee kar chatpata lunga Jab thak jaunga toh apne par kata lunga Phir koyi darwaja khat khata lunga Aur puchunga koyi khali fanda hai