Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Zehnaseeb
Shekhar Ravjiani
Popularity ยท Low
+
๐ณ๐ฌ Hausa ยท Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Zehnaseeb, zehnaseeb
Tujhe chaahun betahasha, zehnaseeb
Mere qareeb, mere habeeb
Tujhe chaahun betahasha, zehnaseeb
Tere sang beete har lamhe pe humko naaz hai
Tere sang jo na beete uspe aitraaz hai
Is qadar hum dono ka milna ek raaz hai
Hua ameer dil gareeb
Tujhe chaahun betahasha, zehnaseeb
Zehnaseeb, zehnaseeb
Tujhe chaahun betahasha, zehnaseeb
Lena-dena nahi duniya se mera, bas tujhse kaam hai
Teri akhiyon ke sheher mein, yaara, sab intezaam hai
Khushiyon ka ek tukda mile, ya milein gham ki khurchanein
Yaara, tere-mere kharche mein dono ka hi ek daam hai
Hona likha tha yoon hi, jo hua
Ya hote-hote abhi anjaane mein ho gaya
Jo bhi hua, hua ajeeb
Tujhe chaahun betahasha, zehnaseeb
Zehnaseeb, zehnaseeb
Tujhe chaahun betahasha, zehnaseeb
Hua ameer dil gareeb
Tujhe chaahun betahasha, zehnaseeb
Zehnaseeb, zehnaseeb
Tujhe chaahun betahasha
Tujhe chaahun betahasha (zehnaseeb)
ย