Alvida
Saif Altaf
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Seekha pyaar main ne
Kho ke kyun tujhay
Judd na paayi raahein
Haari manzilein
Keh bhi na paaya
Tujh se mera dil
Tujh pe hi tha yeh marta
Rooth gaya tu
Phir bhi na jaanay
Teri hi baatein hai karta
Galiyoun mein thay
Anjaanay musafir
Tu hi tou tha ek apna
Mann mein tujhay
Humrahi banaya tha
Toot gaya woh sapna
Tu saath nahin hai phir bhi
Dil mein hai jagah le baitha
Kar de mujhay khud se
Ab riha
Tujhay mil gaya aur sahaara
Ab hoga kiya milan dobaara
Na hoga tou keh de
Alvida
Poochay ab mera dil
Jeeti kyun anaa
Sab ho gaya haasil
Bass tere siwa
Keh bhi na paaya
Tujh se mera dil
Tujh pe hi tha yeh marta
Rooth gaya tu
Phir bhi na jaanay
Teri hi baatein hain karta
Galiyoun mein thay
Anjaanay musafir
Tu hi tou tha ek apna
Mann mein tujhay
Humrahi banaya tha
Toot gaya woh sapna
Tu saath nahin hai phir bhi
Dil mein hai jagah le baitha
Kar de mujhay khud se
Ab rihaa
Tujhay mil gaya aur sahaara
Ab hoga kiya milan dobaara
Na hoga tou keh de
Alvida
Na hoga tou keh de
Alvida