Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Faasle
Akhil Redhu
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Faasle na rahe, na zameen-asma rahe
Haan, meri khwahishon ko aaj tu gulaam karde
Wafa na kar sakun main, aisa dil pe vaar karde
Main dhoondta rahunga galtiyan thi kya meri
Ki poochhe bina raza meri sazaa yeh mere naam karde
Mujhe pata lagega kaun mere saath hoga
Mujhe jo thaam le, woh pehla kiska haath hoga
Main ban saka nahi, jo chaha tumne apne jaisa
Kya tab bhi dil ko tere mujhse itna pyaar hoga
Khuda, yeh banda tera kis qadar badal gaya
Ki nafraton se ladta dekh, nafraton se bhar gaya
Manzilon ko dhundte woh maut se bhi lad gaya
Par aakhri safar mein apni hasraton se dar gaya
Aashiya bana ke bhi hoon tanha yaar sa
Karz kya ada karun kisi ke pyaar ka
Kora harf kagazon mein kab se laapata
Kya likhun main aisa jo mita de faasla
Faasle na rahe, na zameen-asma rahe
Faasle na rahe, na zameen-asma rahe
Main vaade tod aaya manzilon ke paas jaake
Jahaan khade the log kismaton ki maar khaake
Woh kehte, "laal sa zakhm toh dar hai jism ka"
"Jo ab hare na ho sake, toh phir bhala woh ghaav kya the"
Lahu se lipte aaj haathon ka yeh haal dekh
Dhua hai har taraf, zehen mein jalti aag dekh
Mitaane wala hoon main khudko apne aap se
Tamasha hi samajh ise, tu aaj meri haar dekh
Magar yeh janm mera phir se ek baar hoga
Main jeetu shohratein, tumhe bhi mujhse pyaar hoga
Jise mitaaya maine, woh toh guzra kaal tha
Ki aane wala kal mera, yeh sirf ab misaal hoga
Gawa hai waqt toh saboot mera karm hai
Saza hai maut, toh amar meri yeh kalm hai
Main is hi mitti ka pehchan le, ae ghar mere
Tera hi hissa phir kyun poochhe mera dharm hai
Oh-oh, kya bura main, kya bhala banunga
Jo bana main ek din mitunga
Ho sake toh fark hi mita doon main
Aasmaan mein khwahishon ka ghar hai
Kya zameen ko faaslon ka dar hai
Ho sake toh fark hi mita doon main