Skip to content

Chaudhvin Ka Chand

Popularity ยท Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Chaudavin ka chaand ho, ya aafatab ho? Jo bhee ho tum khuda kee kasam, laajawab ho Chaudavin ka chaand ho, ya aafatab ho? Jo bhee ho tum khuda kee qasam, laajawab ho Chaudavin ka chaand ho Zulfen hain jaise kaandhon pe baadal jhuke hue Aankhen hain jaise may ke payaale bhare hue Masti hai jismein pyaar kee tum, vo sharaab ho Chaudavin ka chaand ho Cheharaa hai jaise jheel mein hansata hua kanwal Ya zindagi ke saz pe chhedi huee gazal Jaane bahaar tum kisi shaayar ka khwaab ho Chaudavin ka chaand ho Honton pe khelti hain tabassum kee bijliyaan Sajde tumhaaree raah mein karti hain kaikashan Chaudavin ka chaand ho, ya aafatab ho? Jo bhee ho tum khuda kee kasam, laajawab ho Chaudavin ka chaand ho