Mujhe Chu Rahi Hain Teri Garam Sansen (Swayamvar / Soundtrack Version)
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Mujhe chhu rahi hain teri garm saansein
Mere raat aur din mehakne lage hain
Teri narm saanson ne aise chhua hai
Ke mere to paaon behakne lage hain
Labon se agar tum bula na sako to
Nigahon se tum naam lekar bula lo
Tumhari nigaahein bahut bolti hain
Zara apni aankhon pe palkein gira do
Mujhe chhu rahi hain teri garm saansein
Mere raat aur din mehakne lage hain
Pata chal gaya hai ke manzil kahan hai
Chalo dil ke lambe safar pe chalenge
Safar khatm kar denge hum to wahin par
Jahan tak tumhare kadam le chalenge
Mujhe chhu rahi hain teri garm saansein
Mere raat aur din mehakne lage hain
Teri narm saanson ne aise chhua hai
Ke mere to paaon behakne lage hain