Kon?
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Hey yo Ink put some sauce on it
Jin ko sunta tha bachpan mein
Unke saath kia collab hai
Kal ko famous mein hun ya na hun
Wada karta ke phirray ga bhai inka khullay mein
Gaane gaye par likhaari hun goat mein
Gulliyon se nikla aya main-road pe
Leta faisla ziada sochke na
Sunno mujhe thora aur thora aur thora aur ghor se
Ye saare bhai mere thora boht chorte
Mubaalgha aarai ke bina na boltay
Well, guess what? You just heard a new word
Saare bolein badmaash lekin Hashim bhai nerd haii
Karun tanqeed jesay mera farz haiii
Khatam hota waqt khatam hoti na ye mashkein
Bolo one teep threep drill type beat
Saaray stud pairr thallay inhe karun ga mein heal warr
Kaan khol beta meri baat sun
Underground waale represent karte pura mulk hein
We running life in the fast lane
Daur sake nahi tabhi dushman chup gayee
Le lo naam sada
I spit fire twaadi mein annaa saaraan
Mere channel pe raps ni khabrein hein
Tabhi to logon ke dillon mein hun samaa jata, (han)
Banein mureed par mein kisi ka murshid ni
Hashim bhaaghi hai par wo koi mufsid ni
Bara pan mera dikhne waalon ko dikhta hai
Raah chalta rukjata sunleta munkir ki
Taaj milla to phir phenk doun ga crowd pe
Fans saare mujhe lagtay apne gaon ke
Jaane anjaane mein jo bhi boldia boldia
Making it rain jahan pe londay sirf fountain
Khud ko jaanleva bolnay wala kon hai?
Nahi samajh aanay wala bolo kon hai?
Zer-e-asar karlo meri qadar
Beat karta qatal mere jesa dooja kon hai?
Lajawaab mein to bas dhoonta jawaab
Be-misaal mein apni dhoonta misaal
Khol zabaan teri bhi chalegi dukaan
Choray ye bazaar tujhe bhi karega kharab
Is mantar ki mantaq samajhne ki koshish mein
Ab bhi tum londay ho uljhan mein
Is ke zariye tum bas pana chahtay sundar kudiyaan
Par chotay ye kala hi sundar hai
Maza ata mujhe sonay mein
Pata nahi kyun ye awaam itna chahti hai cash?
Duniya-daar loug shayad tajassus mein
Dekhna chahtay khatam kahan hoti aish
Mein apnay waqt se aagay
Mera rap beshak shayari ki irtiqa hai
Agli nasal ke liye hein ye lafz
Tum bas chup kar ke sunlo, yahi iltija hai
Class'on se bahir mein hota tha khara
Aur abhi bhi karta hun stand out
Tere paas mere paas wala ilm ni hai
Desi rap ka mein Royce y'all better Back Down
Tuaada bhai Desi rap ka Rakim
Munda awaen niyo chest up karda baaqi
Jeda kami beshi hovay odi mangda maafi
Hai ye aitmaad over confidence ni jaani
Tune milna to mil door se taarh mat
Tu mera fan hai beshak ye baat maan mat
Jis'se mutaasir hai tu chotay uska maan rakh
Izzat dega to phir milegi ye baat yaad rakh
Lafz karta sunnein waalon ke nazar
Par andhi awaam inko ata na nazar mein
Mere maslon se lete jo lazzat
Wo ab bhi zinda apne daddy ki rakam pe
Rabb ka shukar jis ne bakhshi abilities
Down to earth mein beej bota mein na thees
Zimmadaari qabool ki hokay kanwaara
The mere class waalay felon banein mera class fellow nai
Pasand mein ya phir rap mera? Say bitch
Apne dimaagh pe zor thora de bitch
Messages to mein parhta hi ni
Karna pyaar hai to kar subscribe like share bitch
Shit Israel nomaaendagi par karta Pakistan ki mein
Is k bina teri meri koi pehchaan ni hai
Kurta pehnta kyunki maza ata saadgi mein
Kapron se koi barhti shaan ni hai
Tum karte party mein nokri
Aur jab tum sote ho baap tera likhta hai rap
Tere mere waalay shok ni jiggar
Mein bijli hun tabhi on hote hein fans
Game mein hein vairi mere various
Jo inke notepad pe likha wohi baat inhon ne kehni bas
Ye pakartay aslaa meri jaiban'ch hathiyar
Phir bhi inke circle se bada hai mera calibre
Rappers selfish jese underground machli bazaar hai
Jese unki likhi baat mein koi baat hai
Jese aye ye akele yahan inke bhaiyon ka na raha kabhi saath hai
Bhai saath le ke chalnay wala kon hai?
Apno se kabhi nahi jalay jo wo kon hai?
Dega zakham jab bhi likhe ga kalam
Ched dega nasal aane waali jo wo kon hai?
Lajawaab mein to bas dhoonta jawaab
Be-misaal mein apni dhoonta misaal
Khol zabaan teri bhi chalegi dukaan
Chotay ye bazaar tujhe bhi karega kharab