Skip to content

Vaa Ingey

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Hum na rahe hum jo thhe kabhi Khud ko hai chhoda, peeche kahin Hum naa rahe hum, jo thhe kabhi Khud ko hai chhoda, peeche kahin Teri ore badhne lage Teri tarah ban'ne lage Ab toh mohabbat mein lutne chale Jeene ki khwahish mein marne chale Ab toh mohabbat mein lutne chale. Jeene ki khwahish mein marne chale Dard bhi hum seh lenge, tu jo saath raha Saari duniya bhula denge, yeh waada raha Chahe jitni mulaaqatein ho mujhe kam hi lage Tere sath guzaraun har din par dil na bhare Ek waqt baad hasne lage Raah teri hum takne lage Ab to mohabbat mein lutne chale Jeene ki khwahish mein marne chale Ab to mohabbat mein lutne chale. Jeene ki khwahish mein marne chale Teri baatein hain aisi Maano jaise koi duaa Jise sunkar dil ko kitna, hai sukoon mila Mehboob ki aankhon mein hi Rab dikhta hai Mehsoos kiya ab jaake ye khud maine Tere aage jhukne lage Tere raaston par rukne lage Ab to mohabbat mein lutne chale Jeene ki khwahish mein marne chale Ab to mohabbat mein lutne chale. Jeene ki khwahish mein marne chale