Breathless - Alan Hewitt, Steve Madaio
Alan Hewitt Project
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Koi Jo Mila To Mujhe Aisa Lagta Tha Jaise Meri Saari Dumiya Mein
Geeton Ki Rut Aur
Rangon Ki Barkha Hai
Khushboo Ki Aandhi Hai
Bheki Hui Si Ab Saari Fizaayein Hai
Mahki Hui Si Ab Saari Havaayein
Khoyi Hui Si Ab Saari Dishaayein
Hai Badli Hui Si Ab Saari Adaayein Hai
Jaagi Umange Hai Dhadak Raha Hai Dil
Saanson Me Toofa Hai Hothon Pe Nagme Hai
Aankhon Me Sapne Hai Sapno Me Beete Huye Saare Woh Lamhe Hai
Jab Koi Aaya Tha
Nazro Pe Chaaya Tha
Dil Me Samaya Tha Kaise Mai Bataun Tumhe
Kaise Use Paaya Tha
Pyaare Se Chehre Pe Bikhri Jo Zulfein To Aisa Lagta Tha Jaise
Kohre Ke Peeche Ek Os Me Dhula Hua
Phool Khila Hai Jaise Baadal Me Ek Chaand Chupa Hai
Aur Jhaank Raha Hai Jaise Raat Ke Parde Me Ek Savera Hai Roshan
Roshan Aankhon Me Sapno Ka Saagar Jisme
Prem Sitaaron Ki Chaadar Jaise Jhalak Rahi Hai
Lahro Lahro Baat Kare To Jaise Moti Barse
Jaise Kahi Chaand Ki Paayal Goonje
Jaise Kahi Sheesh Ke Jaam Gire Aur Chann Se Tootey
Jaise Koi Chip Ke Sitaar Bajaye
Jaise Koi Chaandani Raat Me Gaaye
Jaise Koi Haule Se Paas Bulaye Kaisi
Meethi Baate Thi Wo Kaisi Mulakate Thi Woh
Jab Maine Jaana Tha
Nazro Se Kaise Pighalte Hai Dil Aur
Aarzoo Paati Hai Kaise Manzil
Aur Kaise Utarta Hai Chaand Zameen Par
Kaise Kabhi Lagta Hai Swarg Agar Hai To
Bas Hai Yahi Par
Usne Banaya Mujhe
Aur Samjhaya Mujhe Hum Jo Mile Hai Humein
Aise Hi Milna Tha
Gul Jo Khile Hai Unhe
Aise Hi Khilna Tha
Janmo Ke Bandhan Janmo Ke Rishtey Hai
Jab Bhi Hum Jamne To
Hum Yuhi Milte Hai
Kaano Me Mere Jaise Shahad Sa Ghulne Lage
Khwaabo Ke Dar Jaise Aankhon Me Khilne Lage Khwaabo Ki Duniya Bhi
Kitni Hasi Aur Kaisi Rangee Thi Khwaabo Ki
Duniya Jo Kehne Ko Thi Par Kahi Bhi Ni Thi
Khwaab Jo Toote Mere Aankh Jo Khuli Meri Hosh Jo Aaya Mujhe
Maine Dekha Maine Jaana
Wo Jo Kabhi Aaya Tha
Nazro Pe Chaaya Tha
Dil Me Samaya Tha
Jaa Bhi Chuka Hai Aur
Dil Mera Hai Ab Tanha Tanha Na To Koi Armaa Hai Na Koi Tamanna Hai
Aur Na Koi Sapna Hai
Ab Jo Mere Din Aur Ab Jo Meri Raate Hai
Unme Sirf Aansoo Hai
Unme Sirf Dard Ki Ranjh Ki Baate Hai Aur Faryaade Hai
Mera Ab Koi Nahi
Mai Hu Aur Khoye Hue
Pyaar Ki Yaddein Hai
Mai Hu Aur Khoye Hue
Pyaar Ki Yaddein Hai
Mai Hu Aur Khoye Hue
Pyaar Ki Yaddein Hai
Huuuh!
Main hoon aur khoye Huye pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye Huye pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye Huye pyaar ki yaadein hain...
Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain
Unmein sirf aasun hain
Unmein sirf dard ki ranj ki baatein aur
Faryadein hain mera ab koi nahin
main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hai
Doob gaya hai dil gham ke andhare me
Meri saari duniya hai dard ke ghere main
Mere saare geet dhale aahon main
Banke deewana ab yahan wahan firta hoon
Thokar khata hoon un rahaon main
Jahan use dekha tha jahan use chaha tha
Jahan main hasa tha aur badmein roya tha
Jahan use paya tha pake khoya tha
Jahan kabhi fulon ke kaliyo ke saaye the
Rangeen rangeen mehki rut main
Har ek kadam pe ras rachaye the
Gulshan gulshan din main ujale the
Jagmag jagmag noor tha raaton main
Jhil mil jhil mil
Jahan maine khabon ki dekhi thi manjil
Jahan meri kashti ne paya tha sahil
Jahan maine paya thi palkhon ke chhav
Jahan meri bahon main nikhalti kisi ki mari mari bahein
Jahan ek chehre se hatti nahi thi meri nigahein
Jahan kal narmi narmi hi thi pyar hi pyaar hi tha hathon hath the
Jahan kal gaye the prem tarane
Jahan kal dekhe the sapne sunahne
Kisi ko sunaye the dil ke fasane
Jahan kal khayi thi jeene ki
Marne ki kasme todi thi duniya ki saari rasmein
Jahan kal barsa tha prit ka badal
Jahan maine thama tha koi aachal
Jahan pehli baar mein hua tha mein pagal
Ab un rahon mein koi nahi hai
Ab hai woh rahe viraan viraan
Dil bhi hai jaise hairan hairan
Jaane kaha gaya mera sapno ka mela
Aise hi khayalo mein khoya khoya
Ghum raha tha mein kabse akela
Chamka sitara jaise koi gagan me
Gunji saja koi mann aangan me
Kisi ne pukara mujhe mud ke jo dekha maine
Mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe
Jise maine chaha tha jise maine puja tha
Lot ke aaya hai, thoda sharminda hai, thoda ghabraya hai
Zulf pareshan hai kapte honth aur bheegi hui aankhein
Dekh raha mujhe gumsum gumsum
Uski nazar jaise puch rahi hai
Itna bata do kahi khafa toh nahi tum
Pyaar jo dekha phir meri nigahoon mein
Agle hi pal tha woh meri inn bahon mein
Bhool gaya mera dil jaise har gham
Badal gaya jaise duniya ka mausam
Jhoome nazare aur jhumi fizaye aur
Jhoome the mann aur jhumi hawaein
Jaise phir gaane lagi saari dishayen
Kitni hasi hai kitni suhani
Hum dono ki prem kahani
Hum dono ki prem kahani
Hum dono ki prem kahani...