Mujhe Le Jayein
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Befikar koyi safar hai
Sapno mein kahi.
Raahe jo dhunde manzil,
Jana hai wohi.
Khushran panchiya jaha
Badalo se khele,
Phoolon ki kashtiyo me
Suraj aa dhale.
Sard hawa ki leher me
Peido k sayein,
Bejhijak batoin se hum
Gum ho jaye.
Uljhane sab behjaye
Boond si girkar.
Begana sa hai ye khwab,
Niyat bekhabar.
Roshni k dhage liye
Asma zameen se siye,
Sanjh ye jaise koyi
Paheli suljhaye.
Soch me duba chand jaha
Samundar tair jaye,
Asma se toota tara
Jugnu ban kho jaye.
Mujhe le jaye.
Befikar koyi safar hai
Sapno me kahi.
Raahe jo dhunde manzil,
Jana hai wohi.
Waqt se bandhi ye zindagi
Aur na bhaye,
Sukun se bhare jahan me
Mujhe le jaye
Mujhe le jaye sapne
Mujhe le jaye
Mujhe le jaye sapne
Mujhe le jaye