Skip to content

Talaash

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Ab dil bhari hai Seenay mein kayy hein sawal Phir rooh khali hai Mat pucho kya hai haal Adhe adhe se chand pay Pura kyun ek daag hai Sad manzar mein hai Magar phir bhi kyun firaag hai Mujhe khud mein hi khud ki talash hai Mujhe khud mein hi khud ki talash hai Talaash hai zindagi ki Jeeney say phr dil-lagi ki Teri hi bandagi ki Adat mujhko lag chuki thi Ehsaas-e-kamtari Nazrey kiukay bhar chuki thi Apno ka saahaara Par mehez wou bus sympathy thi Iss tootay dil k tukro ko kese jama kre Bhari jholi khaali dard kese bayaan kre Behiss zamana, kiya yeh sharam kre, haya kre Chupay kitnay gham ab yeh lafz inko bayaa kre Paas nahi tu, mujhe lagey sab door kiu Khaas tha wou saath, ya mai cheez wou fuzool hu Aj ki yeh raat teri maang pr mehdood yu Ehsaas ki yeh baat par houta hai mehsoos kiu Waqt ki zanjeerou mai Mai khush hu bus tasveero mai Itna hi tha sath jitna haath ki lakeerou mai Bus khud ki hai talaash tou mashoori hogayi peero mai Kuch chora hi nahi tou ab kiya khaak mujhse cheenougay Ab dil bhari hai Seenay mein kayy hein sawal Phir rooh khali hai Mat pucho kya hai haal Adhe adhe se chand pay Pura kyun еk daag hai Sad manzar mein hai Magar phir bhi kyun firaag hai Mujhe khud mein hi khud ki talash hai Mujhе khud mein hi khud ki talash hai Ye kesi zindagi k sab mila bus tu nahi,jabke Sirf manga tujhe tw karun gila mein kiun nahi Wohi pe atka bikhra teri meri duriyon se Sab se dur betha gaanay likhraha mein studio mein Hum phirse ajnabi tw abtk phasay kiun wahi Badla zamana jaana par mein ab tk hun wahi Ab meri khaamiyan bhi gini jaati khoobiyon mein Dhakkay khaatay they kal tk aaj kaam karey moody hokey Aagay meri aankhon ke, sapnay guzri hui yaadon ke Heeray jesi chamak hai is qalam main khud koyla hoke Ab tk kiun mjhko dikhay wohi sab phir mere khwaabon mein Le mjhko tu baahon mein, kaafi dur dooba hun mein Ginti tk ab bhool chuka kitni dafa toota hun mein Ab aati hasi kabhi pyaar ka koi naam le tw Ab tk taaza zakham jaaney de dabaade maamley ko Aana tum fursat se kabhi dil se dil ki baat karne Kehne ko tw kaafi kuch pr hotay chup jab saamnay wo Beshak tum jaan lelo par na karna or ab der Mt jhootay aasray do, mein nai sakta ab ye jheil Kehti mjhe chahti, kabhi deti mjhko gaali Mjhe pagal lgti saali uskeliye tw jese hai ye khel Bholi si surat ke peeche jese chupi churail Mein khud bhi bhoot tw adhoora mein tere bagair Doodh ka nai dhula shayad tjhse ziyada bura tbhi Tujhe chahta khudse ziyada kesay rakhun tjhse beir Na paas waqt na rahay ye pehley jese din Mjhe jeena sikhaa gai janeman ye dunya tere bin Ankhon mein nami hai par kisi cheez ki kami nahi Ab dekh teri jesi kitni bethin mjhe deke dil Dekh aake haal mera, pesa deke pyaar lera Han mein maan nai raha par ye nasha meri jaan lera Gazab zindagi kidher se kahan le aiye hai ye Aksar sochta jab dekhun khudko ainay mein Ab dil bhari hai Seenay mein kayy hein sawal Phir rooh khali hai Mat pucho kya hai haal Adhe adhe se chand pay Pura kyun ek daag hai Sad manzar mein hai Magar phir bhi kyun firaag hai Mujhe khud mein hi khud ki talash hai Mujhe khud mein hi khud ki talash hai