Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Bahot Pahle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain
Jagjit Singh
Popularity · Moderate
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Bahut pehle se un kadmon ki aahat jaan lete hain
Bahut pehle se un kadmon ki aahat jaan lete hain
Tujhe ai zindagi, ai zindagi
Tujhe ai zindagi hum door se pehchaan lete hain
Bahut pehle se...
Tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton mein
Tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton mein
Hum aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain
Hum aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain
Bahut pehle se...
Meri nazrein bhi aise kaafiron ka jaan-o-imaan hai
Nigaahein milte hi jo jaan aur imaan lete hain
Nigaahein milte hi jo jaan aur imaan lete hain
Bahut pehle se...
Firaaq aksar badalkar bhes milta hai koi kaafir
Firaaq aksar badalkar bhes milta hai koi kaafir
Kabhi hum jaan lete hain, kabhi pehchaan lete hain
Bahut pehle se un kadmon ki aahat jaan lete hain
Tujhe ai zindagi hum door se pehchaan lete hain
Bahut pehle se...