Skip to content

Priya Shyam Sakha

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Priya shyam sakha tu hai sune naino ka ujiyara Tuhi jeevan data Tuhi jeevan ka rakhwara Andhiyare antar mein tune antar jyoti jagayi Antar tanik na rakha bas gya antar beech kanhayi Mujhme mukhrit hoke mujhse krishna katha kehlayi Sab kuch swayam kiya aur de di mujhko naam badaai Maine toh bas bhule bhatke jai shri krishna uchchara Ved purano se nahi hoti prabhu teri paribhasha Main agyaani kaise gau swar hai aur na bhasha Tera darshan teri sewa janmo ki abhilasha Tere shri charno mein soti aasha aur nirasha Ant samay hari sadgati dena rakhna dhyaan hamara Hare krishna Hare krishna