Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Aadat Bigaad Ke
Meet Bros
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Kahaan jaa rahe ho, zaalima, aadat bigaad ke?
Kahaan jaa rahe ho, zaalima, aadat bigaad ke?
Seene mein mere ishq ke khanjar ko gaad ke
Seene mein mere ishq ke khanjar ko gaad ke
Mere dost ban gaye hain yeh sunsaan raaste
Maine jaagna seekha tha, yaar, tere vaaste
Maine jaagna seekha tha, yaar, tere vaaste
Haan, tere vaaste
So paaoge na...
So paaoge na tum meri neendein ujaad ke
Kahaan jaa rahe ho, zaalima, aadat bigaad ke?
Tu hi hai farebi toh sansaar ka main kya karoon?
Dhoke hi dhoke mile iss pyaar ka main kya karoon?
Tune hi di hain mujhe betaabiyaan-bechainiyaan
Seene pe jo lag chuka uss vaar ka main kya karoon?
Tu dekh toh aakar zara, main beqaraar hoon
Tu bewafa hai, phir bhi main hi sharmsaar hoon
Tu bewafa hai, phir bhi main hi sharmsaar hoon
Main hi sharmsaar hoon
Ab hum karenge ishq bahut dekh-bhaal ke
Kahaan jaa rahe ho, zaalima, aadat bigaad ke?
Kis baat pe saath chhoda
Mujhe bas woh baat bata do
Bas woh baat bata do
Main bhool paaoonga tumko na
Tum mujhko lakh bhula do
Mujhko lakh bhula do
Pyaar tha mera, vyapaar nahin tha
Main tha sawaali, kharidaar nahin tha
Jitni sazaayein tune ishq mein di hain
Itna toh main gunehgaar nahin tha
Tujhe kya mila hai yoon mujhe jeete-jee maar ke?
Jeete-jee maar ke
Tum kis gali ho chal pade khud ko sanwaar ke?
Kahaan jaa rahe ho, zaalima, aadat bigaad ke?