Skip to content

Noor-E-Khuda

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Noor-e-khuda, whoa Whoa, noor-e-khuda Ajnabi mod hai, khauf har ore hai Har nazar pe dhhuan chha gaya Pal-bhar mein jaane kya kho gaya Umm, aasmaan zard hai, aahein bhi sard hain Kabse saaya juda hogaya Hmm, pal-bhar mein jaane kya kho gaya Saans ruk si gayi, jism chhil sa gaya Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya Noor-e-khuda, noor-e-khuda Tu kahan chhupa hai, humein yeh bata? Noor-e-khuda, noor-e-khuda Yoon na humse nazrein phira Noor-e-khuda, noor-e-khuda Tu kahan chhupa hai, humein yeh bata? Noor-e-khuda, noor-e-khuda Yoon na humse nazrein phira, noor-e-khuda (Noor-e-khuda) Ho, nazar-e-karam farma hi de Oh, deen-o-dharam ko jaga hi de Oh, jalti huyi tanhaaiyan, roothi huyi parchhaiyan Kaisi udi yeh hawa, chhaya yeh kaisa samaa Hmm, rooh jam si gayi, waqt tham sa gaya Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya Noor-e-khuda, noor-e-khuda Tu kahan chhupa hai, humein yeh bata? Noor-e-khuda, noor-e-khuda Yoon na humse nazrein phira, noor-e-khuda Ujde se lamhon ko aas teri Zakhmi dilon ko hai pyaas teri Har dhadkan ko talash teri Tera milta nahin hai pata Khaali lage, khud se sawaal karein Aman ki cheekh behaal karein Behta lahu fariyaad karein Tera mit'ta chala hai nishaan Rooh jam si gayi, waqt tham sa gaya Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya Noor-e-khuda, noor-e-khuda Tu kahan chhupa hai, humein yeh bata? Noor-e-khuda, noor-e-khuda Yoon na humse nazrein phira, noor-e-khuda Noor-e-khuda, noor-e-khuda Aaj-kal tu kahan hai, ye bata? Noor-e-khuda, noor-e-khuda (noor-e-khuda) Aaj-kal tu kahan hai, ye bata? (ya khuda) Noor-e-khuda, noor-e-khuda (noor-e-khuda, noor-e-khuda) Aaj-kal tu kahan hai, ye bata? Noor-e-khuda, noor-e-khuda Aaj-kal tu kahan hai, ye bata? Noor-e-khuda, noor-e-khuda Kya yeh sach hai ki tu hai humse khafa? Noor-e-khuda