Aksar
KK, Joi
Popularity ยท Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Is pal mein hai aisa nasha
Ye pal yahi samjhe aa
Lahje jo tujhe mujhko hua
Kya tujhko bhi hone lagga?
Yaad mein teri aksar
Jaagta hoon main raaton ko
Aahatein tere dil ki
Chhoo leti hai aankhon ko
Aisa kyun hai yaar
Main hoon bekaraar
Kya yahi hai pyaar
Ye bataao na
Mere khayal poochhe sawaal
Aisa kyun hai haal
Ye bataao na
Khoya rehta hoon main teri baaton mein
Khushboo hai teri jo hai meri saanson mein
Zindagi ab tere saaye mein hai
Chal raha teri raahon mein
Muskarake saath chalna
Rahna meri baahon mein
Saath saath chal aaj hai jo pal
Kal rahe naa rahe
Tu hi din mein hai aur tu hi raaton mein
Jeena hai mera ye ab tere haathon mein
Jo kahe ye toh ab jeeyoon main
Ya main jeena chhod doon
Apne dil ki dhadkano ko
Tere dil se jod doon
Paas paas rahoon dil ki baat karoon
Tu jo mujhse kahe
Yaad mein teri aksar
Jaagta hoon main raaton ko
Aahatein tere dil ki
Chhoo leti hai aankhon ko
Aisa kyun hai yaar
Main hoon bekaraar
Kya yahi hai pyaar
Ye bataao na
Mere khayal poochhe sawaal
Aisa kyun hai haal
Ye bataao na