Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
ek raat
Bhappa
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Ek woh raat thi waisi
Jismein baat thi aisi
Jaisein laga ni kabhi bhi
Udaas aur heavy
Sochu aaj tak main bhi
Kya tum aaj bhi waisi
Jisse hat ti nazar ni
Meri aankh uski kaidi
Mannat aaj tak hain ki
Hain tu jahaan bhi rahio aisein
Jaisein tu rehti thi jab saath thi meri
Kya kara thi teri
Kyu Taqdeer hai kehti
Ki Tu Chaha Ke Bhi Ban Nahi sakti
Aaj nahi meri
Sochu
Kya sab kuch chudd chuka hai
Kyun sab kuch dhundhula hai
Jo bhi main karna chahta
Koi na koi kar chuka hai
Mann mera bharr gaya hai
Darr andar badh raha hai
Ki sapna mera tukdo mein
Ab shayad girr raha hai
Aur banta jaa raha tha
Ek banda jo bas chidh gaya hai
Dimaag mei kaid, dimaag mei zeher
Yeh khudse hee khafaan hai
Ab jo bhi karta
Aata nahi mazaa yahin sazaa hai
Par tab bhi aage badhte jaana
Bas yahin pata hai (pata hai pata hai)
Ek wo raat thi waisi
Kari baatein aisi
Jaisein kar hee ni paaya
Kabhi aaj tak mai bhi
Sochu aaj bhi main ki
Kya unn raaton mein main wapas
Jaa sakta hu kya hai yeh chahat meri
Mannat aajkal hai ki
Ab tu jaha hai wahi rahio
Milke na mujhse badle yaadein teri
Haan kara thi teri
Ek tasveer reh chuki hai jo
Chaha ke bhi bharr nahi sakti
Baahein meri
Jaanu
Haan sab kuch chudd gaya hai
Haan sab kuch dhundhula hai
Jisko sach mein tha chahta
Le jaa koi aur chuka hai
Mann uska bharr gaya hai
Pata bhi chal chuka hai
Ki saath nibhane waala uspe bhi
Ab ek naya hai
Aur bann gaya hu mai ek banda
Jo sab kho chuka hai
Dimaag mei kaid, dimaag mei zeher
Yeh pehle bhi hua hai
Ab jo bhi karta aata nahi maza
Dil hee khafa hai
Par tab bhi rukk nahi main sakta
Bas yehi pata hai (pata hai pata hai)
Ek wo raat thi waisi
Jismein baat thi aisi
Jaisein laga ni kabhi bhi
Udaas aur heavy
Sochu aaj tak mai bhi
Kya tum aaj bhi waisi
Jisse hat ti nazar ni
Meri aankh uski kaidi
Mannat aaj tak hai ki
Hai tu jaha bhi rahio aise
Jaise tu rehti thi jab saath thi meri
Kya kara thi teri
Kyu taqdeer hai kehti ki tu
Chaha ke bhi bann nahi sakti
Aaj nahi meri