Talismaan
Harass
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Hook
Main to anjan baitha
Leke jahan baitha
Banke toofan baitha
Jiska anjam main tha
Main Talisman baitha X2
Verse
Sunke hairan na ho
Main bh insaan baitha
Tark bas itna sa ki
Main to khudko maan baitha
Par ye intazaam kaisa?
Tootata taara dekha
Jb khud se hua samana tha
Ghere hain sbke aage, phir kya?
Unko langhna tha
Krodh se vichlit ye har naaraz insaan kehta
Mera anjam kya tha?
Jb khudko dhundh rehta
To kisko? Pehchaan paata
Faal ke chakkar main lagta yahan sb kuch aam sa tha
Baaten ye teekhi kyunki kadwahat ko jaan na tha
Sach ke sath jo hota chhal
Uska parinam kya tha?
Sannate ke haq main bas shor to shaitaan ka tha
Andhere se dosti karli
Kyunki raushni ka to nam hi na tha
Himmat se gar sil do kasht
To pucho mt khudse kuch bhi
Kyunki wo poshaak banta
Khud bhagwan ka tha
Nazar padte hin dikh jaati hain paarten
Jab sb kuch lagta yahan veeran sa tha
Safalta to agar ek laalsa hai
To phir asal jeevan main inaam kya tha?
Khudko pehchanna hin keemat
Warna yahan par kaam hin kya tha?
Hook
Main to anjaan baitha
Leke Jahaan Baitha
Banke Toofan Baitha
Jiska Anjaam Main tha
Main Talisman baitha