Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Aye Phoolon Ki Rani - Arzoo
Mohammed Rafi
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa
Tera muskuraana gazab ho gaya
Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa
Tera muskuraana gazab ho gaya
Naa dil hosh mein hai, naa hum hosh mein hain
Nazar ka milaanaa gazab ho gaya
Tere honth kya hain, gulaabi kanval hain
Ye do pattiyaan pyaar kee ek ghazal hai
Vo najuk labon se mohabbat kee baathen
Hum hee ko sunaanaa gazab ho gaya
Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa
Tera muskuraana gazab ho gaya
Kabhi khul ke milana, kabhi khud jhijakna
Kabhi raaston par bahakana-machalanaa
Ye palkon kee chilman uthaakar giraana
Giraakar uthaanaa gazab ho gaya
Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa
Tera muskuraana gazab ho gaya
Fizaaon mein thandak, ghata par javanee
Tere gesuon kee badee meharbaanee
Har ek pench mein saikadon maykade hain
Tera ladkhadana gazab ho gaya
Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa
Tera muskuraana gazab ho gaya
Naa dil hosh mein hai, naa hum hosh mein hain
Nazar ka milaanaa gazab ho gaya