Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Aye Gham-E-Dil Kya Karoon
Jagjit Singh
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Shahar kee raat aur main nashaad-o-naakaara firoon
Jagamagaati jaagti sadkon pe aavaara firoon
Gair kee basti hai kab tal dar-ba-dar maara firoon
Ai gam-a/e-dil kya karoon? ai behshat-a/e-dil kya karoon?

Ye roopahali chhaanv, ye akaash par thaaron ka jaal
Jaise sufi ka tassavur, jaise ashiq ka khyaal
Aah lekin kaun samjhe? kaun jaane jee ka haal
Ai gam-a/e-dil kya karoon? ai behshat-a/e-dil kya karoon?
Ai gam-a/e-dil kya karoon? ai behshat-a/e-dil kya karoon?
Jee mein aathaa hai ye murda chaand-taareephen noch loon
Is kinaare noch loon aur us kinaare noch loon
Ek-do ka zikr kya, saare ke saare noch loon
Ai gam-a/e-dil kya karoon? ai behshat-a/e-dil kya karoon?
Ai gam-a/e-dil kya karoon? ai behshat-a/e-dil kya karoon?
Raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chalaa jaaoon meri fitarat nahin
Aur koyi hamnavaa mil jae ye qismat nahin