Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Arjuna vishada yoga Prathama Adhyaya Verse
Shailendra Bhartti
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Adhyaay ek: Arjun vishad yog
Pehla adhyaay hai: Arjun vishad yog
Yahan shuruwaat hoti hai Dhritarashtra ke sawalon se
Wo jaan'na chahte hain ki yuddh mein kya ho rha hai
Unka putra Duryodhan aur unki sena kya kar rhi hai
Aur saath he mein Paandu putron ki sena kya kar rhi hai
Uske baad dono senaon ke soorveeron ka varnan
Aur uske baad aata hai Arjun ka vishad
Matlab ki unka dukh, unki samasya, unka dharm-sankat
Aaiye, sunte hain Arjun vishad yog
धृतराष्ट्र उवाच
धर्मक्षेत्रे कुरुक्षेत्रे समवेता युयुत्सवः
मामकाः पाण्डवाश्चैव किमकुर्वत सञ्जय
Dhritarashtra Sanjay se poochte hain
"Dharm-bhumi Kurukshetra mein yuddh karne ke liye akatra hue
Mere aur Paandu ke putra kya kar rhe hain?"
Dhritarashtra jaan'na chahte hai ki yuddhsthal per aakhir ho kya rha hai
Dhritarashtra andhe the, dekh nahi sakte the
Lekin aankhon se andhe the, mann aur mastishk se nahi
Unhein pata tha ke wo dharm ke saath nahi
Kyunki dharm to wohan hota hai jahan Shri Krishna the
Apne putra-moh mein unhone shanti ki jagah yuddh ko chuna tha
Lekin wo jaante the ke yuddh ko jeetna aasaan nahi hoga
Apne jeewan mein jab hum kuch galat karte hain
To hum bhi samajh rhe hote hain, doston
Ki hamare kiye ka nateeja shayad accha na ho
Aur aisa he Dhritarashtra ke saath bhi hua
Wo bhi isi dar aur isi aashanka mein dikte hain