Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Dooriyan
AUR
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Nazdiikiyaan
Milaata rah nazrein, khatam hongi ye dooriyaan
Badhaata rah qadam, ye sochoon ki mile kahin
Main bhatka to padha, tera chehra naqsha bana
Haan, raaz kaise tere ye hum pe khul rahe hain?
Kya raaz naye hain?
Raazon mein hi uljhe hum badal rahe hain
Kya raaz naye hain?
Main tere bina jee raha hoon, kadwa sach hai
Main tanha hoon, aansuon ko pee raha hoon
Tum be-basi par hans rahe ho
Main apne liye mar chuka, apnon ke liye jee raha hoon
Dil mein le ke shikwe aasmaan ko takta hoon
Khud ki kami ko main taaron pe ginta hoon
Uljha hoon khud mein, phir khud se hi thak ke
Main chhodta insaan, Khuda se baatein karta hoon
Poochhta hoon, sach mein kyun taaqat nahin hai?
Tere baad sajdon mein raahat mili hai
Mile itne gham mujhko, sahta gaya hoon
Main raaton mein rota hoon, aadat nahin hai
Chaahta hoon, aa ke koi mujhko hansaaye
Koi mujh par bhi kar de mohabbat ke saaye
Main likhoon ki gham hai, wo usko mitaaye
Koi mujhko bhi dhoonde, koi mujhko bhi paaye
Main phans chuka hoon darmiyaan, koi darmiyaan na aaye
Hoon main itna gham-zada ki mujhe mai-kade bulaaye
Phir bhi dekh le tu, hona hai raahon mein teri fana
In dooriyon se behtar nazdikiyon ke paikar
Main lagta kaun tera, tu mujhse aa ke tai kar
Khatam kar de mujhse tu ye dooriyaan
Nazdiikiyaan
Milaata rah nazrein, khatam hongi ye dooriyaan
Badhaata rah qadam, ye sochoon ki mile kahin
Main bhatka to padha, tera chehra naqsha bana
Haan, raaz kaise tere ye hum pe khul rahe hain?
Kya raaz naye hain?
Raazon mein hi uljhe hum badal rahe hain
Kya raaz naye hain?
Mere aansu saaf kar de ya aa ke phir se bhar de
Main sochoon baitha tanhaai mein, kya mila tujhe bichhad ke
Main to raaz hi rah jaunga, tere paas hi rah jaunga
Tu dhoond le mujhe khud mein hi
Ki raaste mein ho rahi hain baatein
Shaayad ho jaayein phir mulaaqatein
Tum padhti hi nahin ho, warna humne
Lafzon pe kar diye hain khulaase
Faasla bhi ek paheli hai safar mein raahi ki
Dooriyaan hi to wajah banti hain paas aane ki
Anjaan ho, naadaan ho, maaloom tumko kuch nahin
Sabse haseen tasveer ho tum dil ke aashiyaane ki