Lanat Bar Dushmane Zahra
Mesum Abbas
Popularity ยท Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Lanat Bar Dushman-e-Nabi
Lanat Bar Dushman-e-Ali
Lanat Bar Dushman-e-Zahra
Aye Ahl-e-Azza Aao Suno Gham Ka Yeh Qissa
Jis Beti Ko Kehte Nabi Umm-e-Abeeha
Ummat Ne Ossay Bad-e-Nabi Khoob Rulaya
Darbar Mein Makhdoma-e-Aalam Ko Bulaya
Aaj Talak Roti Hai Dunya Haan Bari Mazloom Hai Zahra
Kya Ajar-e-Risalat Yeh Muhammad Ko Mila Hai
Oss Ghar Ko Jala Dala Jahan Deen Pala Hai
Shehzadi Pe Jalta Howa Darwaza Gira Hai
Aye Momino Sar Peeto Yeh Gham Sab Se Bara Hai
Ghurbat-e-Haider Ka Khulasa Haan Bari Mazloom Hai Zahra
Socho Tu Musalmano Sitam Aisa Howa Kyun
Shehzadi Ko Darbar Mein Bulwaya Gaya Kyun
Siddiqa-e-Konain Ko Jhutlaya Gaya Kyun
Main Jhoot Nahi Bolti Yeh Kehna Para Kyun
Dil Yeh Tumhara Bhi Kahey Ga Haan Bari Mazloom Hai Zahra
Tareekh Mein Milta Hai Qayamat Ka Yeh Manzar
Jab Ghusal-o-Kafan Deney Lagay Zahra Ko Haider
Jis Waqt Nazar Aaya Unhein Pehlu Shikasta
Ik Cheekh Uthi Dil Se Tu Roney Lagay Maula
Noha Hai Yeh Shair-e-Khuda Ka Haan Bari Mazloom Hai Zahra
Iss Gham Ke Tasawar Se Larazta Hai Mera Dil
Jo Loag Musalman They Sab Ho Gaye Batil
Naam Unn Ke Tabarey Mein Kiya Karta Hoon Shamil
Mohsin Ke Bhi Qatil Hain Woh Zahra Ke Bhi Qatil
Hashar Talak Main Tu Kahon Ga Haan Bari Mazloom Hai Zahra
Bad-e-Paygamber-e-Islam Raha Kuch Bhi Nahi
Oss Ki Taqdeer Mein Matam Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Masiwa Dard Ke Daman Mein Raha Kuch Bhi Nahi
Haye Kyun Bint-e-Nabi Yeh Sitam Sehti Rahi
Jab Keh Darwaza Gira Keel Bazu Mein Chubhi
Silsila Barhta Gaya Bas Gayi Karb-o-Bala
Chal Gayi Sheh Pe Churi Aa Gayi Sham-e-Jafa
Ik Roz Mein Zahra Ka Bhara Ghar Howa Barbad
Mardoon Mein Faqat Zindah Bachay Baqir-o-Sajjad
Sab Qaidi Bane Sham Chaley Mail-e-Faryad
Darbar Mein Zalim Ke Gayin Zainab-e-Nashad
Kehti Rahein Sani-e-Zahra Haan Bari Mazloom Hai Zahra
Mismar Baqiya Mein Howa Marqad-e-Zahra
Iss Gham Mein Likha MAZHAR o MEESUM Ne Yeh Noha
Ab Barhwein Sarkar Banaein Gay Woh Roza
Phir Ho Ga Wahan Dushman-e-Zahra Pe Tabarah
Gonjay Fizaon Mein Yeh Noha Haan Bari Mazloom Hai Zahra
Qatilan-e-Zahra Par Lanat
Shimar-o-Hurmala Par Lanat
Dushman-e-Azza Par Lanat
Dushman-e-Wila Par Lanat
Lanat Bar Hinda Jigar Khawar
Lanat Bar Muljim-e-BadKar
Lanat Bar Yazid-e-May Khawar
Lanat Bar Dushman-e-Mukhtar