Skip to content

Dard Minnat

Somesh Kumar
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

dard minnat-kash-e-davā na huā maiñ na achchhā huā burā na huā jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ ko ik tamāshā huā gila na huā ham kahāñ qismat āzmāne jaa.eñ tū hī jab ḳhanjar-āzmā na huā kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb gāliyāñ khā ke be-mazā na huā hai ḳhabar garm un ke aane kī aaj hī ghar meñ boriyā na huā kyā vo namrūd kī ḳhudā.ī thī bandagī meñ mirā bhalā na huā jaan dī dī huī usī kī thī haq to yuuñ hai ki haq adā na huā zaḳhm gar dab gayā lahū na thamā kaam gar ruk gayā ravā na huā rahzanī hai ki dil-sitānī hai le ke dil dil-sitāñ ravāna huā kuchh to paḌhiye ki log kahte haiñ aaj 'ġhālib' ġhazal-sarā na huā dard minnat-kash-e-dawa na hua main na achchha hua bura na hua jama karte ho kyun raqibon ko ek tamasha hua gila na hua hum kahan qismat aazmane jaen tu hi jab KHanjar-azma na hua kitne shirin hain tere lab ki raqib galiyan kha ke be-maza na hua hai KHabar garm un ke aane ki aaj hi ghar mein boriya na hua kya wo namrud ki KHudai thi bandagi mein mera bhala na hua jaan di di hui usi ki thi haq to yun hai ki haq ada na hua zaKHm gar dab gaya lahu na thama kaam gar ruk gaya rawa na hua rahzani hai ki dil-sitani hai le ke dil dil-sitan rawana hua kuchh to paDhiye ki log kahte hain aaj 'ghaalib' ghazal-sara na hua