Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Kagaz Ki Kashti @
Jagjit Singh
Popularity · Low
+
Soninke · Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Yeh daulat bhi le lo, yeh shohrat bhi le lo
Bhale chheen lo mujhse meri jawaani
Yeh daulat bhi le lo, yeh shohrat bhi le lo
Bhale chheen lo mujhse meri jawaani
Magar mujhko lauta do bachpan ka saawan
Woh kaagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kaagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kaagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Mohalle ki sabse puraani nishaani
Mohalle ki sabse puraani nishaani
Woh budhiya jise bachhe kehte the "Nani"
Woh Nani ki baaton mein pariyon ka dera
Woh chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka fera
Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
Woh chhoti si raatein, woh lambi kahaani
Woh chhoti si raatein, woh lambi kahaani
Woh chhoti si raatein, woh lambi kahaani
Kabhi ret ke oonche teelon pe jaana
Kabhi ret ke oonche teelon pe jaana
Jaana, jaana, jaana, jaana, jaana, jaana
Kabhi ret ke...
Yeh jo azaan ke yeh notes hain
Woh piano, baaje mein nahin hote
Jaana...
Kabhi ret ke oonche teelon pe jaana
Gharonde banaana, banaakar mitaana
Woh masoom chaahat ki tasveer apni
Woh khwaabon, khilonon ki jaagir apni
Na duniya ka gham tha, na rishton ke bandhan
Na duniya ka gham, na rishton ke bandhan
Badi khoobsurat thi woh zindagaani