Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Yaar Badal Na Jaana
Darshan
Popularity ยท Low
+
๐ฎ๐ฉ Madurese ยท Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Armaanon ke is gulshan mein
Tum aaye ho saavan kee tarah
Yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
O, mere yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
Tum kya jaano, mere dil mein
Tum rahtee ho dhadakan kee tarah
Yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
O, mere yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
ย
Saagar ke sang lahar, kiran sooraj ke saath mein chalatee hai
Shamaa hamesha paravaane kee chaahat mein hee jalati hai
Ho, phool mein khushboo rahtee hai aur sip mein moti rahata hai
"tera-mera hoga milan," dharti se ambar kehtha hai
Mere honton pe rahana har dam
Saazon mein chhupee sargam kee tarah
Yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
O, mere yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
ย
Milke juda ab hone se, dil kyun dartaa hai khone se?
Haan, milke juda ab hone se, dil kyun dartaa hai khone se?
Main tere saath mein ab rahoonga sada, maine lee hai qasam
Hai mera faisalaa, aakhiree saans tak hum naa honge juda
Yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
O, mere yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
Tum kya jaano, mere dil mein
Tum rahtee ho dhadakan kee tarah
Yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
O, mere yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
Sarkaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
Dekho, yaar, badal naa jaanaa mausam kee tarah
ย