Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Kyun Main Jaagoon - Shafqat Amanat Ali | (Lyrics) |Akshay Kumar,Anushka Sharma| Patiala House (2011)
Episode
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Mujhe yoon hi karke khwaabon se juda
Jaane kahaan chhup ke baitha hai Khuda
Jaanoon na main, kab hua khud se gumshuda
Kaise jiyoon, rooh bhi mujhse hai juda
Kyun meri raahein mujhse pooche
"Ghar kahaan hai?"
Kyun mujhse aake dastak pooche
"Dar kahaan hai?"
Raahein aisi jinki manzil hi nahin
Dhoondho mujhe, ab main rehta hoon wahin
Dil hai kahin, aur dhadkan hai kahin
Saansein hain, magar kyun zinda main nahin?
Ret bani haathon se yoon beh gayi
Taqdeer meri bikhri har jagah
Kaise likhoon phir se nayi daastaan?
Gham ki siyahi dikhti hai kahaan?
Ho, aahein jo chuni hain, meri thi raza
Rehta hoon kyun phir khud se hi khafa?
Aisi bhi huyi thi mujhse kya khata?
Tune jo mujhe di jeene ki saza
Ho, bande, tere maathe pe hain jo kheenchi
Bas chand lakeeron jitna hai jahaan
Aansoo mere, "Mujhko mita," keh rahe
"Rabb ka hukum na mit'ta hai yahaan"
Ho, raahein aisi jinki manzil hi nahin
Dhoondho mujhe, ab main rehta hoon wahin
Dil hai kahin, aur dhadkan hai kahin
Saansein hain, magar kyun zinda main nahin?
Kyun main jaagoon
Aur woh sapne bo raha hai?
Kyun mera Rabb yoon
Aankhein khole so raha hai?
Kyun main jaagoon...