Skip to content

Waqt

Jokhay feat. JANI & JJ47
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Ab bhi wohi ker khuan hein? Kiya jo ent jorein kal, ab woh sheher kahan hai? Miskeen lutain Asleh ke zor pe ap zinda hein? Bachgae hein? Samjhe ye mohza hai Inke aba o ajdad se na mila Ye wirasaton me sheher Sawal uthta hai haqdaar kon? Inka tarafdaar kon? 22 sala nojawan, marun dardnaak maut Toh wo jurm ki gully ab ek sheher bangayi Jo dikh raha tha qatra lehar ban gayi Woh peene se pahle alag thi Ab saqi halak se utar ke zehar ban gayi Zalim chupe huye muzlimo ke kafile mein Khauf fiza me mila hai kaise saans lele Tere zameeni khuda khud uske asre pe Haq nahi mara gaya najaiz? jawab dede Wo Miskeen, woh gumrah woh faqey me Lahu bahe ab is shehar ke her khake se Lsi inquilab ke naam per baante hoye Wohi ghulami ki muhar tere mathe pe Kapde naye hein woh mouzoun purane Tum bhi to gaate ho dukh bhare gaane Aansu se bheega hai daaman woh kahte hai Kyun bhadha dete ho gham ke paymaane Khwaahishat aksar puri na hui Behte ashqon mein doobe kat'ti zindagi Faraaz chahte apne aap se hi khaar khaate Par khwab apne ab adhure hi sahi Kyun? Teri duniya mein meri na jagah hai Kyun? Thamm sa gaya hai, waqt kya wajah hai? Kya teri raza? Gun rakhi usne nishane pe khopdi Shayad maut likhi aaj bachi 2 ghadi Yaad aaye ghar-bar-dost-yaar-naukri Maa to phir maa hai wo ghar bethi ro padi Use kya pata kishmat ke khel kya Rakhti saja ke phalon ki wo tokri Par beta uska aaj nahi lautega Wo mara jung ladte huye bahut badi Charon taraf bas qatlo gharat Yahan jaan bachana bani maharat Neechi sochein, unchi emarat Karne baithe buzdil tijarat Phande ye haatho mein leke jo ghume Shehar ki hawa mein dum ab ghut-tey hai Insaf bana bas kitabon ki raunak Insaano se behtar muhafiz kuttey hai Na ab noor na jahan hai Na ab woh baatein wazni Khoon garam ho kya naghmaon se Jab dil mein rahi hi na hubulwatni Kya kare jeene ki baatein Dil zakhmi to phir khoon ye thokey ga Phir pait bhare mehlon mein bethe Bhooke se wo bhi kya roti bhi puchega Khwaahishat aksar puri na hui Behte ashqon mein doobe kat'ti zindagi Faraaz chahte apne aap se hi khaar khaate Par khwab apne ab adhure hi sahi Kyun? Teri duniya mein meri na jagah hai Kyun? Thamm sa gaya hai, waqt kya wajah hai? Kya teri raza?