Chandni Raaten Pyar Ki Baaten
Hemant Kumar & Lata Mangeshkar
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Yeh raat, yeh chandni phir kahaan, sun jaa dil ki dastaan
Chandni raatein, pyaar ki baatein kho gayi jaane kahaan
Chandni raatein, pyaar ki baatein kho gayi jaane kahaan
Yeh raat, yeh chandni phir kahaan, sun jaa dil ki dastaan
Aati hai sada teri toote hue taaron se
Aahat teri sunti hoon khamosh nazaaron se
Bheegi hawa, oodi ghata kehti hai teri kahani
Tere liye bechain hai sholon mein lipti jawani
Seene mein balkha raha hai dhuaan, sun jaa dil ki dastaan
Yeh raat, yeh chandni phir kahaan, sun jaa dil ki dastaan
Chandni raatein, pyaar ki baatein kho gayi jaane kahaan
Lehron ke labon par hain khoye hue afsane
Gulzar ummeedon ke sab ho gaye veerane
Tera pata paaun kahaan, soone hain saare thikane
Jaane kahaan gum ho gaye jaa ke woh agle zamane
Barbaad hai aarzu ka jahaan sun jaa dil ki dastaan
Sun jaa dil ki dastaan